Top Articles

Sunday, June 3, 2018

Kya-Kya Hona Chahiye?- Website Banane Ke Liye



Kya-Kya Hona Chahiye?- Website Banane Ke Liye

Kya-Kya Hona Chahiye?- Website Banane Ke Liye.Agar aap Website ya blog banana chahate hai to aapko pahale ye janna important hai ki aapka interest kisme hai.
Kyoki agar aapke pass Jankari Or interest nahi hoga to aapke Blog ya Website banane se koe matalab nahi nikalega yani aap apni website ka SEO Nahi Kar Payenge Or aapki website Rank Nahi Hogi.
Aaj Mai aapko bataunga ki aapko blog ya website Bnane ke liye kya jarurat hogi or kaise ese aap ptrapt kar sakte hai.


1. Basic Information of Blog And Website:

Aap ki jo website hai aapko uski achhi jankari honi chahiye. Taki aap Apane users ke Question ka sahi Answer de sako.
Kyuki agar aapko apni site ke bare me puri jankari nahi hogi to aap users ke sawalo ka sahi Answer nahi de payenge. Isliye aapke pass apni site ki basic jankari(Knowledge) honi jaruri hai.

2.Time For Website (Website ke Liye Time):

Website banane se pahale aapko ye yad rakhna hai ki website ko chalane ke liye aapke pass time hona bahut jaruri hai. Aap apni site ko jitna time doge aapki site utni hi jyada lokpriy hogi.

3. Topic of Website (Name):

Website banane se pahale aap ye achhi tarah se Decide karna hoga ki aap apni site ka name kya rakhna chahte hai Aur aapki site ka name aapke interest or Jankari se related hona chahiye.
Aapki site ka name aesa hona chahiye jise padhte hi log samjh sake ki is site par kya share kiya jata hai. Jaise meri site supportmeindia.com hai. Jise padhte hi samjh aa jata hai ki ye site india supporter hai.

4. Courage, patience and waiting (himmat, dhairy aur intajaar):

Agar Aap Website Banane Ja Rahe hai to aapke andar tin chije hona bhut jaruri hai. Kyuki bahut se log aise hote hai ki website bani nahi or site ko aasman (Sky) par chadhane ki bat karte hai.
Wo sab sochte hai ki hum ek din me duniya me famous ho jaye or bahut jald lakho kamane lag haye.
Agar aap bhi aise sochte hai to aap kabhi success nahi ho paoge. Agar aap me ye 3 gun hai to hi kamyabi or paise aapke piche rahega or agar aap in 3 cheezo ke viprit hai to aapko humesha kamyabi or paise ke piche bhagna padega.

5. Some New Thinking And Practice (Kuchh Naya karne Ki Kosish):

Ye sabse important bat hai ki aapko kuch naya karne ki aadat honi chahiye. Kyuki aap up to date rahoge to ap dusro ko bhi kuch sikha sakte ho.
Isliye aapko chahiye ki aap check karte rahe ki kb-kya naya aa raha hai. Kyuki aaj ki duniya me kuch naya hota hi rahata hai.
I hope ki aapko pata chal gaya hoga ki website banane ke liye kin-kin cheezo ki jarurat hoti hai or site kyo banani chahiye ka Answer mil gaya hoga. Agar ha to is post ko share kare Sabhi Socile Sites par...

1 comment:

  1. https://pusher.com/tutorials/chat-aspnet/

    ReplyDelete

Thanks for visite me...

Pages