Top Articles

Monday, July 24, 2017

Youtube Channel kaise banate hai

        Aaj main aapko youtube  banana ke bare me bataunga. Youtube ke bare me to aap sab jante hi honge aap log kabhi-kabhi khud ko entertain karne ke liye youtube videos dekhte hoge lekin kya aapne kabhi ye socha hai ki aap bhi apni videos youtube par upload karke Famous ho sakte hai or online paisa kama sakte hai.
       Youtube world ka second sabse popular search engine hai jaha per day million visits hote hai or lakho videos upload kiye jate hai.
Youtube ek aisa free platform hai jaha par aap apna talent duniya ko dikha sakte ho man lijiye aap dance ya singing bahut acha karte ho to apne videos bana kar youtube par share kar dijiye agar logo aapka talent pasand aane laga to aap bahut jaldi Famous ho sakte ho.
Chaliye dosto ab ye jaan lete hai ki youtube channel kaise banate hai.


   Step 1. Sabse pahle youtube.com par jaye or upar Right side me Sign in ke option par click kariye jaise niche photo me dikhaya gaya hai.






Step 2. Ab aapko apni Gmail id se sign karna hai.

Important Note : aap kisi or email id ka use karke youtube channel nahi bana sakte isliye aap sirf gmail account ka hi use kar sakte ho.

Step 3. Sign in karne ke baad aap wapis youtube ke home page par aa jayenge or jaha aapko Sign in ka option dikha tha waha aapko apna profile icon show hoga uspar click kariye.




    Step 4. Ab aapke samne ek popup khulega jisme setting ka icon hoga uspar click kariye jaise upar photo me dikhaya gaya hai.

        Step 5. Youtube setting me jakar “Create a New Channel” ke link par click kare.


        Step 6. Ab ek new page open hoga jisme aapko apna Channel name enter karna hai or Create ke button par click karna hai.

  



        Step 7. Ab aapka youtube Channel ban chuka hai lekin aapko kuch chije customize karni hai niche jo maine instructions bataye hai unko follow kare.
     



     1. yaha click kariye or apne Channel ka logo add kariye jaise hi aap click karenge to aapke samne Google+ ka page open hoga waha se aap easily apne Channel ka logo set kar sakte hai.



    2. yaha click karke aapko Channel art add karna hai lekin ek baat ka dhyan rakhe ki aapki image ka size 2560 × 1440 se kam ya jyada na ho. Channel Art banana ke liye Footjet.com ka use kar sakte hai.


    3. yaha click karke aapko Channel ka description add karna hai yani ki apne Channel ke bare me likhna hai.




    Congrats !
Ab aapka youtube Create ho chuka hai ab achi videos share kijiye ab agar aap youtube Channel se paisa kamana chahte hai to jab aapke Channel 1000 view  ho jayenge  to Adsense account ke liye apply kar dijiye kuch dino baad aapka account approved ho jayega or aapki online earning start ho jayegi.




      Dosto I hope aapne is post se kuch sikha hoga agar ye post aapko pasand aaya ho to isko social sites par jarur share kare taki kuch or logo ki bhi help ho sake.



Agar aap hamse koi sawal puchna chahte hai to puch sakte hai ham aapki puri help karenge.

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages