Top Articles

Pyari Maa shayari


हजारो फूल चाहिए एक माला बनाने के लिए,


हजारों दीपक चाहिए एक आरती सजाने के लिए


हजारों बून्द चाहिए समुद्र बनाने के लिए,


पर “माँ “अकेली ही काफी है,


बच्चो की जिन्दगी को स्वर्ग बनाने के लिए..!!



----------------------------------

Labon par Uske Kabhi Badd-Dua Nahi hoti…
Bas Ek Maa hai Jo Kabhi Khafa Nahi hoti.



-------------------------

Meri chahat ka jo jahan hain,

Wo meri maa hain.



Meri zameen ka jo aasman hai

Wo meri maa hain.



Mera sb kuchh jis k naam hai

Wo meri maa hain.



Hansi meri jis k wajood se hai

Wo meri maa hain.

---------------------------------

Raat bhar maine khwabo me JANNAT ki sair ki
Jab subah utha to mera sar MAA Ki God me tha.

------------------------

Phool me jis tarha khushboo achi lgti hain
Mujhko us tarha meri maa achchi lgti hain
Allah slamat or khush rakhe meri maa ko,
Sari duaon me mujhe ye dua achchi lgti hai

--------------------------------

Ghar Aa k Boht Roye Maa Baap Akelay Main,
Mit’ti k khilonay Bhi Sastay Naa Thay Mailay Main.

------------------------

हमारे कुछ गुनाहों की सज़ा भी साथ चलती है

हम अब तन्हा नहीं चलते दवा भी साथ चलती है

अभी ज़िन्दा है माँ मेरी मुझे कुछ भी नहीं होगा

मैं जब घर से निकलता हूँ दुआ भी साथ चलती है

--------------------------------

माँ कहती है मेरी दौलत है तू,,,
और बेटा किसी और को ज़िन्दगी मान बैठा है……

-----------------------

Daastan mere laad pyaar ki
Bas aik hasti k gird ghoomti hai
Pyaar jannat se is liye hai mujhe
Ye meri maa k kadam choomti hai

--------------------------------

Aaj Jinko Rulate Ho Ye Wahi ‪#‎Maa Baap Hai,
Jo Insan Hote Huye Tumhare Liye Hathi Ghoda Bante Rahe.

------------------------

माँ ना होती तो वफ़ा कौन करेगा,

ममता का हक़ भी कौन अदा करेगा,

रब हर एक माँ को सलामत रखना,

वरना हमारे लिए दुआ कौन करेगा.

--------------------------------

भूख तो एक रोटी से भी मिट जाती माँ,
अगर थाली की वो एक रोटी तेरे हाथ की होती

------------------------

Pyaa karna koi tum se seekhe
Dular karna koi tum se seekhe
Tum ho mamata ki moorat
Dil me bithayi hai maine yehi soorat
Mere dil ka bas yehi hai kehna
O maa tum bas aisi he rehna

-------------------------------

Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,
Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…

------------------------



Maa to jannat ka phool hain,

Pyar karna us ka usool hain,

Duniya ki muhabbat fazool hain,

Maa ki har dua kubool hain,

Maa ko naraz karna insan teri bhool hain

Maa ke kadmo ki mitti jannat ki dhool hai

--------------------------------

जन्नत का हर लम्हा….दीदार किया था
गोद मे उठाकर जब मॉ ने प्यार किया था

------------------------

ये जो सख्त रस्तो पे भी आसान सफ़र लगता हे
ये मुझ को माँ की दुआओ का असर लगता हे
एक मुद्दत हुई मेरी मां नही सोई तबिश …
मेने एक बार कहा था के मुझे डर लगता हे..!!!

--------------------------------

सर्द की ये
पहली हवा,मुझको रुला गई
बदन कपकपाया तो,मुझको “माँ” याद आ गई !!

------------------------

Maa ki mamta ko koi mol nahi,
maa ke pyaar ko kaun bhulaye,
Maa ki hi lori hamein raaton to sulaye.
Kis tarah bataun kaise jee rahae hai hum
Chahta hoon gale tujhe lagana,
Chahta hoon vapis laut ke anaa.
Lekin bhej raha hoon payaar is msg mein
Tera beta meri pyaari maa…

----------------------------------

Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe,
Us Maa Ko Khushi Diye Jana,
Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal,
Sada Khush Rakhna Aur Muskurana…

-------------------------

माँ से रिश्ता कुछ ऐसा बनाया
जिसको निगाहों में बिठाया जाए
रहे उसका मेरा रिश्ता कुछ ऐसा की
वो अगर उदास हो तो हमसे भी मुस्कुराया न जाये

----------------------------------

रोज़ रौशन कर देती है मुक़दर मेरा…
रात के अँधेरे में मेरी माँ की लोरियाँ ..

------------------------

जिँदगी‬ की पहली ‪Teacher‬ ‎माँ‬,
जिँदगी की पहली ‪Friend‬ माँ,
‪Jindagi‬ भी माँ ‎क्योँकि‬,
‎Zindagi‬ देने वाली भी माँ.

--------------------------------

Soch samajh kar barbad karna mujhe
Bahut pyar se pala hai meri maa ne mujhe..!

------------------------

Maa tum pr jaun main vari
Naushavar kardu main apni zindagi sari ki sari
Tum lagti ho mujhe sabse payari
Tum ho pyaar ki devi
Tumhare saath rehna hai mujhe hamesha
Deti hoon hamesha tujhe yehi sandesha

--------------------------------

Log Bolte hai,Jannat se khoobsurat kuch nahi,
Shayad unhone kbhi apni Maa ko
khul kar haste huye nahi dekha hoga…

------------------------

बच्चों को खिलाकर जब सुलादेती है माँ,
तब जाकर थोडा सा सुकोन पाती है माँ,
प्यार कहते हैं किसे ? और ममता क्या चीज़ है ?,
कोई उन बच्चों से पूछे जिनकी गुज़र जाती है माँ,
चाहे हम खुशियों में माँ को भूल जाएँ ,
जब मुसीबत सर पर आती है तो याद आती है माँ.

-------------------------------

Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe,
Us Maa Ko Khushi Diye Jana,
Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal,
Sada Khush Rakhna Aur Muskurana…

-----------------------

Maa ke bina zindgi viran hoti hain,
Tanha safar me hr rah sunsaan hoti hain,
Zindagi me maa ka hona zarori hain,
Maa ki duaon se hi har mushkil aasaan hoti h

--------------------------------

रोज़ रौशन कर देती है मुक़दर मेरा…
रात के अँधेरे में मेरी माँ की लोरियाँ ..

------------------------

कौन सी है वो चीज़ जो यहाँ नहीं मिलती,
सब कुछ मिल जाता है लेकिन “माँ” नहीं मिलती…
माँ-बाप ऐसे होते हैं दोस्तों जो ज़िन्दगी में फिर नहीं मिलते,
खुश रखा करो उनको फिर देखो जन्नत कहाँ नहीं मिलती.

---------------------------------

Soch samajh kar barbad karna mujhe
Bahut pyar se pala hai meri maa ne mujhe..!

------------------------

Jee mei aata hai, waqt se kuch palon ko mei chura lun…

Maa ki god mei ser rakhkar, kuch pal sukoon ke bita lun.



Duniye ke sang bhaagte bhaagte thak gaya hun maa…

Teri mamta ki chaon tale thodi neerasta ko mita lun…



Teri murat ko in aankhon mei sada ke liye basa lun…

Tujhse kiye har ek waade ko mei zinda rehte nibha lu…



Teri charno ki dhool ko zara maathe pe mei laga lun…

Apni khusiyon ke phoolon se teri raahon ko mei saja dun.

--------------------------------------

Log Bolte hai,
Jannat se khoobsurat kuch nahi,
Shayad unhone kbhi apni Maa ko
khul kar haste huye nahi dekha hoga…

----------------------------

Jhukti kamar or chehre PE jhuriyo ko aate dekha hai mene,
Thi wo bimar par pure ghar k liye khana banate dekha hai mene,
Chand shabdo me kya likhu uski mamta k raaz mein,
Chil chilati dhup me pallu SE bacho ka sir ko chipate dekha hai mene…

-------------------------------------

Ek Hasti hai jo Jaan hai Meri,
Jo Aan se barh kar Maan hai Meri,
Khuda Hukum dai to kar don sajda usay,
Kyon k woh koi aur nahi Maa hai meri..!!

---------------------------



Apne Bachho Ko Muskuraata Dekh Mukuraati Hai Maa..!!!Dard Ho Mujhe Ko To Ashq AankhoN Se Barsaati Hai Maa...

---------------------------------

zindigani ke safar main gardishon ki dhoop main.
jab koi saya nahin milta tab bohat yaad aati hai MAA.

----------------------------

Thaam Kar Ungli Meri Mujh Ko Har Kadam Par Chalna Seekhaya..
Aaj Bhi Giirta Hoon Kaheen To Sabse Pehle Uthaati Hai Maa....

----------------------------------

kaampti awaz main kehti hai beta alvida.
samne jab tak rahe hathon ko lehraati hai MAA

------------------------------

jab parseshani mein phass jate hain hum pardes main.
aansuuyon ko pochne khawbon main chali aati hai MAA

------------------------------

"माँ" की एक दुआ जिन्दगी बना देगी,

खुद रोएगी मगर तुम्हे हँसा देगी...

कभी भुल के भी ना "माँ" को रूलाना,

एक छोटी सी गलती पूरा अर्श हिला देगी...

--------------------------------------

marte dam tak aa saka na bacha ghar pardes se.
apni sari duyayain chokhat pe chor jati hia MAA

-----------------------------

“MAA” ki ek DUA zindagi bana degi



Khud roy gi magar tume hansa degi



Kahi bhool k bhi na “MAA” ko rulana



aik choti si ghalti poora Arsh hilla degi

------------------------------------

Suna Suna sa Mujhe Ghar Lagta hai,
Maa Nahi hoti toh Bahot Darr Lagta Hai..!!

---------------------------

माँ तेरी याद सताती है, मेरे पास आ जाओ,

थक गई हुँ, मुझे अपने आँचल में सुलालो....

उँगलीयाँ अपनी फेर कर बालों मे मेरे,

एक बार फिर से बचपन की लोरीयाँ सुनाओ.

------------------------------------

Tere Bina Main Ye Duniya Chhod to Du,
Par Uska Dil Kaise Dukha Du,
Jo Roz Darwaze Par Khadi Kehti Hai,
“Beta Ghar Jaldi Aa Jana” …

-----------------------------

उनका कंधा खुदा ने ना जाने कितना मज़बूत बनाया है..
हमारी ख्वाहिशों को उठाते हुए माँ बाप ने कभी उफ़ तक नहीं किया..!!

----------------------------

सबकुछ मिल जाता है दुनिया में मगर,
याद रखना की बस माँ-बाप नहीं मिलते,
मुरझा कर जो गिर गए एक बार डाली से,
ये ऐसे फूल हैं जो फिर नहीं खिलते।

------------------------------------

मैंने रोते हुए पोंछे थे किसी दिन आँसू

मुद्दतों माँ ने नहीं धोया दुपट्टा अपना

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo

Muddaton Maa ne nahi dhoya dupatta apna

----------------------------------

लबों पे उसके कभी बद्दुआ नहीं होती

बस एक माँ है जो मुझसे ख़फ़ा नहीं होती

Labon pe uske kabhi baddua nahi hoti

Bas ek Maa hai jo kabhi khafa nahi hoti

---------------------------------

अब भी चलती है जब आँधी कभी ग़म की ‘राना’

माँ की ममता मुझे बाहों में छुपा लेती है

Ab bhi chalti hai jab aandhi kabhi  gham ki Rana

Maa ki mamta mujhe baahon me chhupa leti hai

--------------------------------
मुसीबत के दिनों में हमेशा साथ रहती है

पयम्बर क्या परेशानी में उम्मत छोड़ सकता है

Musibat ke dino me humesha sath rahati hai

Pyambar kya pareshani mein ummat chhod sakta hai

---------------------------------

जब तक रहा हूँ धूप में चादर बना रहा

मैं अपनी माँ का आखिरी ज़ेवर बना रहा

Jab tak raha hoon dhoop me chaadar bana raha

Main apni Maa ka aakhiri jewar bana raha

----------------------------------



किसी को घर मिला हिस्से में या कोई दुकाँ आई

मैं घर में सब से छोटा था मेरे हिस्से में माँ आई

Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aai

Main ghar mein sabse chhota tha mere hisse mein Maa aai



---------------------------------



ऐ अँधेरे! देख ले मुँह तेरा काला हो गया

माँ ने आँखें खोल दीं घर में उजाला हो गया

Ae andhere dekh le munh tera kala hogaya

Maa ne aankhe khol di ghar me ujaala ho gaya



-----------------------------------


इस तरह मेरे गुनाहों को वो धो देती है

माँ बहुत ग़ुस्से में होती है तो रो देती है

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai

Maa bahut gusse me hoti hai to ro deti hai



------------------------------------



मेरी ख़्वाहिश है कि मैं फिर से फ़रिश्ता हो जाऊँ

माँ से इस तरह लिपट जाऊँ कि बच्चा हो जाऊँ

Meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaaun

Maa se is tarah lipat jaaun ki baccha ho jaaun



---------------------------------



हादसों की गर्द से ख़ुद को बचाने के लिए

माँ ! हम अपने साथ बस तेरी दुआ ले जायेंगे

Haadson ki gard se khud ko bachaane ke liye

Maa hum apne saath bas teri dua le jayenge



-----------------------------------

ख़ुद को इस भीड़ में तन्हा नहीं होने देंगे

माँ तुझे हम अभी बूढ़ा नहीं होने देंगे

Khud ko is bheed me tanha nahi hone denge

Maa tujhe hum abhi boodha nahi hone denge



-----------------------------------



जब भी देखा मेरे किरदार पे धब्बा कोई

देर तक बैठ के तन्हाई में रोया कोई

Jab bhi dekha hai mere kirdar pe dhabba koi

Der tak baith ke tanhai me roya koi



-----------------------------------



यहीं रहूँगा कहीं उम्र भर न जाउँगा

ज़मीन माँ है इसे छोड़ कर न जाऊँगा

Yahin rahoonga kahin umra bhar na jaaunga

Zameen Maa hai ise chhod kar na jaaunga



-----------------------------------



अभी ज़िन्दा है माँ मेरी मुझे कु्छ भी नहीं होगा

मैं जब घर से निकलता हूँ दुआ भी साथ चलती है

Abhi zinda hai Maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga

Main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai



-----------------------------------



कुछ नहीं होगा तो आँचल में छुपा लेगी मुझे

माँ कभी सर पे खुली छत नहीं रहने देगी

Kuchh anhi hoga to aanchal me chhupa legi mujhe

Maa kabhi sar pe khuli chhat nahi rahne degi



-----------------------------------



दिन भर की मशक़्क़त से बदन चूर है लेकिन

माँ ने मुझे देखा तो थकन भूल गई है

Din bhar ki mashakkat se badan chur hai lekin

Maa ne mujhe dekha to thkan bhool gai hai



-----------------------------------



दुआएँ माँ की पहुँचाने को मीलों मील जाती हैं

कि जब परदेस जाने के लिए बेटा निकलता है

Duaaen Maa ki pahunchaane ko meelo meel jati hai

Ki jab pardesh jane ke liye beta nikalta hai



-----------------------------------



दिया है माँ ने मुझे दूध भी वज़ू करके

महाज़े-जंग से मैं लौट कर न जाऊँगा

Diya hai Maa ne mujhe Doodh bhi wajoo karke

Mahaaze-jang se main laut kar na jaaunga



-----------------------------------



बहन का प्यार माँ की ममता दो चीखती आँखें

यही तोहफ़े थे वो जिनको मैं अक्सर याद करता था

Bahan ka pyar Maa ki mamata do cheekhati

Yahi tohafe the wo jinko main aksar yaad karta tha



-----------------------------------



बरबाद कर दिया हमें परदेस ने मगर

माँ सबसे कह रही है कि बेटा मज़े में है

Barbaad kar diya hume pardesh ne magar

Maa sabse kah rahi hai ki beta maze main hai



-----------------------------------



खाने की चीज़ें माँ ने जो भेजी हैं गाँव से

बासी भी हो गई हैं तो लज़्ज़त वही रही

Khaane ki cheeze Maa ne jo bheji hai gaaon se

Baasi bhi ho gai hai to lazzat wahi rahi



-----------------------------------



मुक़द्दस मुस्कुराहट माँ के होंठों पर लरज़ती है

किसी बच्चे का जब पहला सिपारा ख़त्म होता है

Mukaddas muskuraahat Maa ke hontho par larzati hai

Kisi bacche ka jab pahla sipaara khatm hota hai



-----------------------------------



मैंने कल शब चाहतों की सब किताबें फाड़ दीं

सिर्फ़ इक काग़ज़ पे लिक्खा लफ़्ज़—ए—माँ रहने दिया

Maine kal shab Chaahaton ki sab kitaabe phad di

Sirf ik kaagaz pe likha lafz-e-Maa rahne diya



-----------------------------------



माँ के आगे यूँ कभी खुल कर नहीं रोना

जहाँ बुनियाद हो इतनी नमी अच्छी नहीं होती

 Maa ke aage yoon kabhi khul kar nahi rona

Jahan buniyaad ho itani nami achchhi nahi hoti



-----------------------------------



मुझे कढ़े हुए तकिये की क्या ज़रूरत है

किसी का हाथ अभी मेरे सर के नीचे है

Mujhe kadhe hue takiye ki kya jaroorat hai

Kisi ka haath abhi mere sar ke neeche hai



-----------------------------------



बुज़ुर्गों का मेरे दिल से अभी तक डर नहीं जाता

कि जब तक जागती रहती है माँ मैं घर नहीं जाता

Bujurgon ka mere dil se abhi tak dar nahi jaata

Ki jab tak jaagti rahti hai Maa main ghar nahi jaata



-----------------------------------



अब भी रौशन हैं तेरी याद से घर के कमरे

रौशनी देता है अब तक तेरा साया मुझको

Ab bhi raushan hai teri yaad se ghar ke kamre

Raushani deta hai ab tak tera saya mujhko



-----------------------------------



मेरे चेहरे पे ममता की फ़रावानी चमकती है

मैं बूढ़ा हो रहा हूँ फिर भी पेशानी चमकती है

Mere chehre pe mamta ki farwaani chamkati hai

MAin boodha ho raha hoon phir bhi peshaani chamakti hai

-----------------------------------



आँखों से माँगने लगे पानी वज़ू का हम

काग़ज़ पे जब भी देख लिया माँ लिखा हुआ

Aankhon se maangne lage paani wajoo ka hum

Kaagaz pe jab bhi dekh liya Maa likha hua



-----------------------------------



ये ऐसा क़र्ज़ है जो मैं अदा कर ही नहीं सकता,

मैं जब तक घर न लौटूं, मेरी माँ सज़दे में रहती है

Ye aisa karz hai jo main adaa kar hi nahi sakta

Main jab tak ghar na lautoon, meri maa sazde me rahti hai



-----------------------------------



चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है

मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखि है

Chalti firti hui aankhon se azan dekhi hai

Maine jannat to nahi dekhi hai maa dekhi hai



-----------------------------------



Aey Maa Phir se muje mera Bastaa de de,
Duiniya ka Diya Sabaq Bahot Muskil bahot hai..!

Khud ko kabhi iss Bheed mai Tanha Nahi Hone Dege,
Maa tujhe ham Boodha nahi hone dege..!!



--------------------------



Gaon se aakar Padhne wale Bhool gaye hai,
K kis ki MAA ne kitna Zevar Becha tha.!!

--------------------------



Abhi Zinda hai MAA meri, Mujhe Kuch bhi Nahi Hoga,
Mai Jab Ghar se Nikalta hoo toh DUA bhi Saath Chalti Hai..!!

--------------------------



Sakht Raaste par bhi safar Aasan Lagta hai,
Yeh Meri Maa ki DUA o ka Asar Lagta hai..!!

---------------------------



Kisi Bache Ko Uski Maa Se Kabhi Judaa Na Karna....

Maa Bin Bachhon Ki Khushiyan Ruth Jatee Hai...



---------------------------------



Aaj Mujhe Aukaat ka Andaaza Hogaya,
MAA ne Chuaa Gulaab toh Taaza Hogaya!!



---------------------------





Mujhe Ek Kamyab Insaan Bante Dekhna....


Tere Bin Kamyabi Bhi Ras Naa Aatee Hai.....


Maa Mujhe Teri Bahut Yaad Aatee Hai............





----------------------------------



Gin Leti Hai Din Bagair Mere Gujare Hain Kitne,
Bhala Kaise Kah Doon Ki Maa Anparh Hai Meri.



---------------------------



Har Avsar Par Rishtedaro Ki Mehfil Lagana....


Ab To Har Mehfil Tere Bin Suni Ho Jati Hai.....


Maa Mujhe Terii Bahut Yaad Aatee Hai.......





--------------------------------



Muhabbat Kitni Kisse hai batana hi nahi padta,
muhabbat jisse hoti hai wo khud hi jaan jaan jaata hai.
Kisi mele me le jaao koi maasoom saa baccha.
Hajaaro me bhi apni maa ko wo pahchaan jaata hai….



----------------------------



Meri Galtiyo Ko Wo Maaf Kar Deti Hai,
Bahut Gusse Me Hoti Hai to B Pyar Deti Hai,
Hotho Pe Uske Hamesha Dua Hoti Hai,
Woh koi aur nahi Sirf “MAA” Hoti Hai…



--------------------------

Maine Kal Saari Mohabbat ki kitaabe Fad di,
Sirf ek Kaagaz Rehne diya, Jispe likha tha “Lafz e – MAA”





*****************







No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages