Top Articles

Monday, June 5, 2017

Karne se pahle kyo dr jana

      


 Hm apne life me kuchh aisa karna chahte hai jisse hme duniya me aik alg pahchan mil jaye .Lekin hm to us kam ko sochte, karne ki koshis ni karte. Hamare dimag me us kam se hone wali profite hi chalti hai. Or hm Sapno me hi kamyabi ki us bulandi pr pahuch jo hm sochte hai.Hmlog us kam ko karne se jyada sochne k bare me jyada dhyan dete hai. Or sochte sochte hi vh time bit jata hai jis time me hme us kam ko karna chahiye.Hm kyo ni us kam ko karte hai ye question sabke mind me hamesa chalta rahta hai.



         Ha ye bat sahi hai ki kisi kam ko karne k bare me hme sabse pahle achhe se soch lena chahiye.Lekin , Hme us kam k Possitive direction me sochna chahiye pr hm to sabse jyada negetive sochane lagte hai. Jaise ki hm ye nya karne ja rhe bt log kya kahenge. log bolege ki etna pd kr ye kya kr rha hai,etc. Socho aap agr ye sb bat OLA Caps Company  k founder Bhavish Aggarwal ne socha hota ki log kya kahenge  to aaj OLA Caps ka namonisan ni rahta. Facebook k Faounder ko hi dekho aap.Aise Duniya me anek example mil jayenge ki vo log logo pr dhyan dete huye kuchh nya karne ki soche or kamyab ho gye hai.Jb hme kuchh nya karna hai to use pure lgn se possitive soch rakhte huye karni chahiye.
       Hm kuchh friends milkar aik Tipin Servise Provider ki aik Company k bare me socha tha ki hm apne Company se logo ko Online Tipin provide kiya jayega. Leken hm us Company ki suruyat ni kr paye Kuchh negative soch k karan. Lekin usme se hi kuchh friends abhi lge huye hai  Us company ko suru karne k liye . Vo log hmare trh negative soch ni rakhe hai.
         Agr hm kisi kam ko ni kr pa rhe to hmare andar Hausale ki kami hai.Aap khud se sochiye agr Majhi pahle hi dr jata to vh kaise pahad kat k aane jane ka rasta bna deta. Esliye dosto hme kisi kam ko karne se pahle darna ni chahiye.
        Kisi kam ko aik Game ki trh karna chahiye. Puri enjoyment k sath us kam ko karna chahiye fie dekho aap dr aise bhagega jaise Lion ko dekhakr Khargos bhagta hai.
                           

Kisi ne kya khub likha hai....


मंजिल उन्ही को मिलती है
जिनके सपनो में जान होती है

पंख  से कुछ नहीं होता
हौसलों से उड़ान होती है
रख हौसला, वो मंज़र भी आएगा
प्यासे के पास चल के, समंदर भी आयेंगा
थक कर ना बैठ, ए मंजिल के मुसाफिर
मंजिल भी मिलेगी और मिलने का मज़ा भी आएगा

                           





No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages