Top Articles

Monday, June 19, 2017

Mann or buddhi me ghir jana...

        Kl hm kuchh friends sath me baith kr masti kr rhe the to aachanak aik mere friend ne group me question kr diya-"Buddhi or Mann dono me santulan kaise bnaye?"

        Tab se mere mind me vhi question chal rha tha - Fir mujhe samajh me aaya ki man or buddhi koe alg-alg chije ni hoti. Dono hamare andar uthne wali  echchaye hoti hai. Jo echcha hmare upr bhavi hoti hai vhi hm karte hai,. Hm  jyada dekhte hai ki Mann jo hota hai vh achhe bure dono kamo ko karne ki  echcha jahir karta lekin jo hamra budhhi hoti hai vh achhe kam ko karne ki echcha jahir karti hai.

        Esliye hme khud hi samajhana chahiye ki hmare liye koun se kam achhe honge. Or uske karne se hme kya fayda hoga.Usse hme safalata milegi ki ni. Kabhi-Kabhi to hm koe kam full enery se to karna suru kr dete hai lekin dhire-dhire vh enery samapt ho jati or hm vo kam ni kr pate. Hme ye sochna chahiye ki vh enery kaise banaye rakhni hai. Us enery ko bnanaye rakhne k liye hme us kam se related jo bhi taiyari ho use turant karna start kr deni chahiye.Ye n soche ki kl karenge, Jo taiyari aap kl pr chhod dene vh kam to ho chuka yani vh kam to kisi hal me pura ni ho sakta. Aap hi socho jo kam aap kl pr tale ho agr use aaj kr loge to kl usse related koe or kam karoge. Jisse kam aage jaldi se badega. 

       Mai aapko apne mann or buddhi ka aik vakya btata hu...
       Bat us time ki hai jb mera exam chal rha tha or mera aik subject taiyar ni tha. But mera mann kr rha tha ki jake cricket match khelu kyoki mere sabhi friend khelne gye the, Or meri buddhi kh ri thi ki n jao khelne kyoki tum khelne jaoge to exam me km number ya fail ho jaoge. Maine decide kiya ki mujhe study karna hai n ki khelne jana hai. Means, maine apne mann pr vijay prapt kr li or maine pdayi ki or exam achha gya.

      So, Dosto aap ye n socho ki mann or buddhi me ghir kr hm sambhal ni sakte. Jis time aap ghire ho en dono se us time aap keval ye soche ki aapko kisse future me fayda hoga. Tb aap shi decision le lenge or aap success ho jayenge . Or aap log jo bhi kam kare use Full Enegy se kare or us energy ko banaye rakhe.
   

     Good bye Friends
        Take care


"Abhi To Asli Manjil Pana Baqi Hai,
Abhi To Irado Ka Imtihaan Baqi Hai,
ABhi To Toli Muthi Bar Zamin,
Abhi Tolna Asman Baqi Hai…
"


No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages