Top Articles

Monday, July 31, 2017

Blogging kaise start kare in hindi

         Blogging Kaise Start Kare: Hi friends mai aapka dost Aarav!  Agar aap blogging start karna chahate hai. Tab aap bilkul sahi post pad rahe hai. Because es blog par main aapko blogging se related bahut sari jankari milegi. Such as Blog keise banaye. Blog me Themes kaise upload/install kare Blog me Domain ko kaise add kare Blog domain ko www ke bina kaise set kare ect. Aur bhi bahut sari jankari aapko  www.waoduniya.com par mill jayenge.


      Lekin kya aapne socha hai ki aap apne blog par kya likhoge. Means ki aap kis topic par blogging karenge. Aksar bahut se blogger yehi galti karte he paise jaldi kamane ke chakar me. Bina kuch soche blog banate hai. Aur dusre bloggers ke blog se copy karke aapne site par dalte hai. For that reason unke blog par qualty contain nahi rehete. And jis blog me quality contain nahi reheta uss blog me visitors bhi bahut kam rehete he. Aur aap to jante hi honge ki blog ke liye visitors kitne importent hote hai. So aapko blog banane se pehele hi achi taraha se soch lena jaiye ki aap kis topic par blogging start karenge. Ya fir kya jankari denge aap apne blog par
      Chaliye es bat par main aapki help kar deta hu. Blog banane ke baad ye jarori nahi ki maine jis topic par likha hai. Ya jis topic par jankari share ki he. Aap bhi usi topic ko chune. Such as har insan ka hobbies, pasand na pasand  alag alag hote hai.  Such as kisiko dance karna pasand he to kisiko design karna, koi kheti karta hai. Then koi engineering but bahut se logo ko  ye nahi pata hota hai ki Dance, Music, Design, Kheti, and Technology par bhi aap  blogging start kar sakte hai.
        



Blogging kaise suru kare

So,
    Dosto! Aayiye ab jante hai kuch aise topic ke bare me jisase aap blogging start kar sakte hai...



(1) Design:- Agar aapko design karna pasand hai. Jaise web desing ya fir aur kuch design to us par aap blogging kar sakte ho. Aur design ke bare me aapne blog me jankari share kar sakte ho.


(2) Healths,Fitness:- Agar aap gym karte ho. And Body, Fittness ke bare me aapko achhi  knowledge hai. Jaise body kaise banaye, gym kaise kare. Then use par bhi aap blogging kar sakte ho.


(3) Kheti-bari:- Agar aapko kheti ke bare me pata hai. Ya fir aap kheti karte ho. Then blogging ke jariye aap uski jankari share kar sakte he.


(4) Story writting:- Es topic par bhi aap blogging start kar sakte ho. Aur ye bahut assan bhi he. When aap free rehete he uss time kuch bhi ek story likh sakte he. For example Love story, Horror story ya fir Motivational story likh kar bhi aap blogging suru kar sakte ho.
(5) Motvational Thought:- App es topic pr bhi blogging kar sakte hai. Agar aapko kisi ko motivate karne ka knowledge ho to.


Aur bhi aise bahut sari topic he jin par aap blogging kar sakte ho. Bas aapko ye sellect karna he ki aapko kya pasand he. Aur kis chiz par aap hamesha blogging kar sakte ho.

      Finally dosto ab aap samajh gaye honge ki Blogging Kaise Start karte he. Ye jo maine topic diye he ye shifr aapko example ke liye diye he.  Ki aap kisi bhi topic par blogging start kar sakte ho. Blogging ke liye bas aapko uske bare me knowledge or interest dono honi chaiye. Then only aap blogging me aapna career bana sako. Yehi jaruri nahi ki aap inhi me se aap ka blogging topic sellect kare. Friends! Blogging kaise suru kare ye jankari kaisi lagi. Comment me jarur bataye.  Also is post ko apne social site par share jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages