Top Articles

Sunday, July 23, 2017

Flipkart ki safalata ki kahani - Success story


         Flipkart, Bahut se kam log aise honge jo es company ko janate ni honge. 2007 me es company ki suruaat hue. Jise Sachin bansal aur Binny bansal ne milakar suru ki thi. Sachin bansal ka janm Chandigard me hue tha. Unke father aik businessman aur unki mother aik housrwife. Sachin bansal ne IIT Delhi se graduation Computer science se kiya tha. IIT Delhi me padne ki vajah se Sanchin bansal ko apne carier ki tension lene ki bilul jarurat ni thi. Vinny bansal ne bhi unhi k sath IIT Delhi se padayi kiya tha. Aur vo bhi Chandigard se hi hai. Dono ka background lagabhag same hone ki vajah se vo aik-dusare ko bahut achhe se samjhate hai. Joki aik partnership me aik bahut important bhumika nibhata hai.


        Padayi ke bad Sachin bansal aur Binny bansal aik samay Amazon k liye kam karte the. Joki duniya ki sabse badi E-commerce company hai. Amazone me kam karte samay hi un logo ko khud ki E-commerce company kholne ke bare me idea aaya. Aur apni company kholne k liye Sachin bansal aur Binny bansal ne Amazon jaisi badi company ko chhod di. Yah aik bada risk to tha Lekin, kahte hai n Ki kuchh bada karne k liye jokhim lena hi padta hai. Dono ne sath milkar 5-sep-2007 me apni aik E-commerce kholi. Jiska name unhone Flifkart diya. Flipkart jab India me kholi gayi thi tab India me na ke barabar hi E-commerce companies thi. Aur jo companies thi bhi vah logo k mansikata ko dekhakar fail ho ja rhi thi. Us samay logo ki mansikata thi ki koe bhi saman bina dekhe, bina chhuve kaise kharidi ja sakati hai. Aur saman ko pane se pahle online payment bhi ni karna chahate the.


          Sachin aur Binny bansal ne logo ki mansikata cash on delivery service lake badal di, joki India me pahali bar tha. Esase pahale har shopping website keval Debit card ya Creadit card se paise lete the. Jis par log jyada bharosa ni karte the. Flipkart company 2007 me book bechane se suru huyi thi. Suru me Sachin or Binny bansal khud hi scooter se book ki delivery karne jate the. Aur book shop k samane khade hokar postar bata karte the. Sachin aur Binny bansal ki mehanat aur honesty rang layi, Aur 2008-2009 me Flifkart ne 40 million rupess ka karobar kr li. Aisa dekhane k bad investor bhi company ki taraf aakarshit huy aur Flipkart ne bahut sare funding ki. Uske bad es company ne kabhi pichhe mudakar ni dekha aur eski grouth kayi guna ho gayi.

                2014 me Flipkart ne Myntra.com aur kayi online shopping site ko kharid liya. Ab Flipkart par fassion, accesorios, mobile, computer se lekar hamari sabhi jarurat ki har aik chij mavjud hai. 2016 me Flipkart ki sell 40 billion tak pahuch gayi hai. Es company me 15000 se jyada employies kam karte hai. Aap Flipkart ke safalata se to samajh gaye honge ki es duniya me koe bhi kam namumkin nahi hai. Jarurat hai to bas sachhi lagan ki kyoki jo kam sachhi lagan se ki jaye usme safalat jarur milti hai.
     


          Dosto! aapko ye success story kaisi lagi ese comment box me jarur bataye. Aur aap apne email se es blog ko subscribe jarur kar lekyoki aisi mai motivational story share karta hu.



No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages