Top Articles

Wednesday, August 30, 2017

Blogger me basic settings kaise kaise karte hai Full hindi Knowleadge

        Friends! Agar aapko blogging me successful banana hai to aapko blogging ko serious tarike se karna hoga kyonki aajkal blogging me competition bahut jyada badh gya hai. Aap me se kai log isko shauk se karte or bahut se isko business ki tarah karte hai lekin blogging me wahi success hota hai jo time se pahle apne mistakes or problems ko solve kar leta hai.


      Friends! Aaj main blog ki basic settings ke bare me bata raha hu agar aapka blog blogger.com par hai to ye settings aapke blog ke liye bahut important hai. Ham me se jyadatar bloggers apni blogging ki shuruwat blogspot se hi karte hai kyonki ye Google ki yah free service hai or use karne me bhi kafi easy hai lekin starting me hame blogging ke bare me jyada jankari nahi hoti or ham blog ki settings ko default chhod dete hai ya fir kuch mistakes kar dete hai jiska hamare blog ke seo or security par bad effect padta hai. Ab me aapko blogger ki basic settings ke bare me bata raha hu isko dhyan se end padhiye.
   
       Blogger ki basic settings kaise karte hai ?

Blogspot Blog ki basic settings karna bahut easy hai aapko sirf niche bataye gaye rules ko follow karna hai.

Step 1. Sabse pahle apne Blog ke dashboard me aa jaiye or Settings par click kijiye uske baad Basic ke option ko select kariye.


    

Step 2. Ab aapke samne Title, Description, Privacy, Blog Readers, Blog Author or Blog Address ke options dikhai denge.

Title

1. Isme apne Blog ka name enter kariye.
2. Ab save changes par click kar dijiye.


Description 


1. Esme aapko Blog ka Description yani aapka Blog kis subject ke bare me hai vo enter karna hai lekin dhyan rahe aap isko sirf 150-160 words me hi likh sakte ho.





2. Eske baad save changes par click kar ke save kar dijiye.


Privacy:-



1. Yaha aapko 2 options dikhai denge dono ko yes kar dena hai.
2. Iske baad save kar dijiye.


Publishing :-

Blog Address :- Eska use aapko tab karna hota hai jab aap Blogspot.com ka subdomain remove karke apna custom domain use karte ho.

HTTPS :-

Is feature ka use karke aap Blog ki security ko improve kar sakte ho lekin agar aap custom domain use karte ho to is feature ka fayda nahi utha sakte.

HTTPS enable karne ke liye yes ke option ko select kariye.


Permissions:-



       Agar aap Blogko kisi dusri email id se manage karna chahte hai to is option ka use kar sakte hai.



1.sabse pahle Add Author par click kijiye.
2. Ab is box me email id enter kijiye.
3. iske baad Invite Author par click kariye.


Ab jo email id aapne enter kiya hai us par ek mail ayega jisme invitation link hoga link par click karna hai or invitation accept karna hai.


Blog Readers:-
   Sabse pahle edit par click kariye.


1.Public ke option ko select kariye.
2. Ab save par click kariye.


    Congratulations... Friends Ab aapke blog ki basic settings puri tarah ho chuki hai. Freinds aapko mera aaj ka post kaisa lga aap jarur bataye..

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages