Top Articles

Sunday, August 27, 2017

Talent ko de Natural Grouth

           Apane desh ke bachche kayi sare field me apani pratibha ka pradarshan kar rahe hai. Chahe vah study ho ya sports ya fir singing se lekar acting ka mamala hi kyo n ho, lekin sav arab ki aabadi wale desh ke liye sirf etna hi prayapt nahi kaha ja sakata. Mahanagaro se lekar chhote bade city aur yha tak ki towns aur gavo tak bal pratibhaye har jagah hai, par parents me jagrukata ki kami aur buniyadi subidhaye n hone se en pratibhao ko aage badhane ki sahi disha nahi mil pati. Esaka khamiyaja yah hota hai ki bachapan me jyadatar bachcho ke sapane bikhar jate hai. Desh ke pahale

P.M. Pandit Javahar Lal Neharu ke janmdin par ham har sal 14 November ko childrenday manakar rashm nibha to lete hai,lekin kya ham sabhi ne kabhi yah sochane ki koshis nahi ki - ki desh ke gramid-shahari sabhi bachcho ke mentaly vikash ke liye kitane kargar kadam uthaye gaye? Kya sabhi bachcho ko school ki shubhida mil pa ri? Aur jinako mil rahi hai, kya unako vha natural talent ko pahachanane aur nikharane ki koe koshis ki jati hai?

        Jyadatar school me unhe tota-ratant ki education di jati hai aur jab koe bachcha bahut kuchh rat leta hai, to dusare ke samane usaka presentation kar parent khud ko gaurvantit mahshus karate hai. Lekin kya unhone aur school teachers ne kabhi yah socha hai ki esase us bachche ka natural talent ka kitana bhala ho raha hai? Kitane parents aur teachers aise honge, jo bachcho ki pasand-napasand janane aur fir usake mutabit unhe nikharane-savarane ki koshish karate hai? Khojane par aise gine chune hi milenge, jo vastav me unake intrest ko samajhakar usake mutabit unhe subidhaye aur sansadhan uplabdh karane ka prayash karate hai. Jyadatar parents to padosi ya kisi rishtedar ke bachcho ki kamyabi ka hawala dete huye apane bachcho ko bhi usi raste par chalane ka dabav dalate hai.
         Esakas natija yah hota hai ki ya to bachcha apane future ko lekar confuse ho jata hata hai ya fir koe ulta-sidha kadam uthakar bikhar jata hai. Chahe Mata-pita ho ya teacher, sabhi ko yah samajhan chahiye ki koe bhi bachcha usi field me achchha kar sakata hai, jisame usaki ruchi hogi. Jarurat uski esi ruchi ko pahachanane aur samajhane ki hai. Agar aapka bachcha apani pasand ke kisi Game,Musice,Art,Dance,Writing me lajabab pradarshan karat hai, to kya esase aapka name roshan nahi hoga? To fir kyo bachche par apani pasand thopkar ya dusaro ki tarah banane ka dabav dalakar khud usake bachapan ko khatm karne ka koshish kar rahe hai. Usaki khusi ko samjhakr hi kadam badhaye, taki aap bhi hamesha khush rah sake...

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages