Top Articles

Thursday, July 6, 2017

Vijay Shekhar Sharma (विजय शेखर शर्मा) - A Success Story

      
           Aajkl hm me se kayi log Paytm ka shahara le rhe hai. Kya aapko pata hai Uttar Pradesh k aik chhote se gav se talukk rakhane wale aik person ne Paytm ko janm diya. Aapko jankar hairani hogi ki es person ka time aise dour se gujarana pada tha jab aik time khane ke liye pocket me paisa ni tha. Tamam kathinayiyo ka datakar  mukabala karte huye enhone 24% ke salana interest pr bank se paise loan lekar apne company ko success ke aise mukam pr pahuchaya hai,jaha pahuchana kisi bhi startup company ka dream hota hai. Es company ka aik-aik paisa unke struggle  ki kahani ko batata hai.Thode se paise se suruaat kar desh ke chillar bazar me kranti lane wale es person ki kahani behad hi motivation (प्रेरणादायक) hai.


      Vijay Shekhar sharma aaj ke Bhartiya indutries k jane mane chehare me se aik hai. Uttar Pradesh ke Alligard districs ke chhote se gav me aik middle class family me janme Vijay bachapan se hi padayi me kafi tej the. Gav ke hi Hindi meddium school se enhone apni padayi puri ki. Aapko yah jankar behad aashchary (आश्चर्य) hoga ki enhone keval 12 sal ki age me 10th or 14 sal ki age me 12th pass kar liye the. Apni sister ko adarsh manane wale Vijay ne apne aage ki padayi karne k liye Delhi College of Engineering me admission liya. Vijay ne hindi meddium se padayi ki thi esliye enko English ki vajah se college k dino me kathinayiyo (कठिनाईयों) ka samna karna padata tha, Lekin apni es kamjori se enhone kabhi apna aatmbal (आत्मबल) kamjoor ni hone diya.
       Aik middle family se aane wale Vijay ne paise ki value achhe se samjhate the. Esliye enhone college me hi aik dost k sath milakar business start kar diya. Year 1997 me Vijay ne apne dost k sath milkar Indiasite.net name ki aik company kholi, Lekin bad me enhone aik American company ko ese bech diya or khud usi company me job karne lage. Lagabhag aik sal job karne k bad ennhone khud ka karobar suru kar diya. Silicon valley me badi-badi companies ko dekh Vijay ne bhi sapane dekhane suru kar diye. Apane sapane ko pura karne k liye enhone job ko chhod diya aur apne desh vapas chale aaye.
       Year 2001 me enhone apni khud ki saving se One97 name ki company suruaat ki. Yah company mobile se judi value added services pradan karti thi, Example- Exam result,Joks,Ringtones,News, Cricket-Score,recharge etc. Dhire-dhire yah company badi hoti gyi aur Hutch, airtel jaisi badi telicon companies k sath partnership  karne me success rahi. Lekin 2001 me Aarthik(आर्थिक) jagat me bhayankar giravat k karan company ghate me chali gyi aur uski vajah se Vijay aik-tarah se garib ho gye. Es bure time me Vijay ne apne dost or ristedaro se 24% ki salana interest pr paise udhar liye. Company fir se suru hue aur usase jo bhi profit hoti use udhar liye logo ke paise chukan, office ka rent bharne aur 22 logo ki salary dene me khatm ho jati thi. Badi mushkil se Vijay ne khud k liye pocket money bacha pate the. Vijay ke liye ye time bada
struggle bhara  raha. Unhone apani car chhodakar auto aur bus se aane lage aur khane ke jagah chay aur biskits se kam chalana suru kar diya. Ghar ka rent n de pane karan Vijay kafi rat ghar aate aur subah hi jaldi nikal jate taki makan malik se mulakat n ho. Aisi time me enhone aik jagah job bhi karni suru kar diye, Lekin Vijay ne sapna dekhana ni chhoda aur bussiness ke naye avasar talasane me lage rahe.
       Hotmail ke founder Sabeer bhatia aur yahoo k founder Jerry yang aur Devid filo ko apna karobari adarsh manane wale Vijay ne 2010 me gaur kiya ki bharat me smart phone ka prayog(use)  teji se badh rha hai. Vijay ne es field me aik bada avasar dekha aur esase jude aik aise idea par kam karna suru kar diya jisase logo ko fayda ho. unhone apni purani company One97 ke antargat Paytm.com name ki website kholi aur online mobile recharge subidha suru kar di. Us time aur bahut si website thi jo online rechage ki subidha deti thi, Lekin  Paytm ka system unki tulana me sidha-sadha aur aasan tha. Paytm ke esi achhayi ki vajah se lakho-crore log jud gye. Vijay ne fir kabhi pichhe mudkar ni dekha aur aik ke bad aik apane karobar ka bistar karne lage. Enhone mobile recharge, bill payment, mobile vallet, Bus ya Airoplane booking, Money Transfer aur online karidadari jaisi subidhaye bhi Paytm se jod di. 122 million users aue 130 million wallet users ke sath Paytm aaj 35000 crore ki company ban chuki hai. Company ko yha tak pahuchane k liye Vijay ne jo mehanat ki hai vh apne aap me bahut hi anuthi hai. Vijay shekhar ki jivan ki kahani sach me motivation hai. Unhone apne mehanat aur laagan ke dam pr company khada ki hai. Enko ye company birasat me ni mili thi. Es company ka aik-aik paisa enke mehanat ko darsata hai




    So, Dosto hame kabhi aik bar success n milane se sapane dekhana ni chhodana chahiye, kyoki success aur unsuccess hamare life me to lga hi rahta hai. Aaj agar hme safalata ni mili to kya hua, kal hme safalata milegi yah sochakar aage mehanat karni chahiye kyoki mehanat ka fal aikdin jarur milta hai. Means, Aapko success aik n aik din mil hi jayegi.




  Good Bye 
    and 
Take Care Friends






Kisi ne khub likha hai dosto-


"ठोकरें खाता हूँ पर ‘शान’ से चलता हूँ,
 मैं खुले आसमान के नीचे सीना तान के चलता हूँ!
 मुष्किलें तो ‘साज़’ हैं जिंदगी का उठूंगा
 गिरूंगा फिर उठूंगा और आखिर में…
 जीतूंगा मैं ही ये ठान के चलता हूँ…."

2 comments:

Thanks for visite me...

Pages