Top Articles

Sunday, August 27, 2017

5000 rupaye se bnaye 5000 crore - Success story

             Rakesh Jhunjhunwala Indian stock market ke king kahe jate hai. Vah aik behatar investor bussiness man hai. Unhe Indian stock market ke investor guru ki tarah manate hai. Unhone year 1985 me keval 5000 rupees ki punji se stock market me investment kiya. Aur unhone usi 5000 rupees ko 5000 crore rupees tak pahucha diya.

           Rakesh Jhunjhunwala ka janm 5 july 1960 me Mumbai me hua tha. Jab Rakesh 15-16 years ke the. Unake father ka thoda bahut intrest stock market me tha.Unhe dekhakar Rakesh ke mann me bhi ruchi jagane lagi, To auk din Rakesh ne apane father se puchh liya ki ye stock market me bhav upar-niche kaise hota hai. To Rakesh ke father ne kaha-"Newspaper read kiya kar, jis company ke bare me news aayi hai ,us company ke sheyar(stock) upar-niche honge." Us din Rakesh ko stock market ke bare me pahali sikh mili. Usi age me Rakesh ki richi stock markest me badhane lagi. Vah alag-alag company ke bare me padane lage aur jankari lene lage.
         Unhone apana graduation Sidnihaem college se puri ki.Rakesh ne apane father se stock market me jane ki echchha jatayi, to unake father ne kaha tumhe jo karana hai-vah karo, Lekin pahale profetional education hasil karo. To unhone charted Accounted (C.A.) ki padayi puri ki.
First Investment-Invest karane ke liye paise nahi the
           Jab Rakesh ne apne C.A. ki padayi puri ki to unhone apane father se kaha ki- mujhe stock market me jana hai. To unake father bole ki usake liye mai paisa nahi dunga aur tum apane dosto se bhi nahi loge. Es tarah Rakesh 1985 me stock market me aa gaye. Jab BSE sensex 150 par tha. Ve share market me aa to gaye, lekin unake pas investment karane ke liye paise nahi the. To unhone jitana ho sake utana apani saving se jama kar ke nearabout 5000 rupees se apana first investment kiya.
 First big profit- Pahala bada munafa
        Rakesh ne apane kabiliyat aur mehanat ke dam par 1086 me apana pahal bada munafa (Profit ) kamaya. Unhone Tata tea company ke 5000 share jo 43 rupees per stock ke hisab se kharide aur unhe 3 mahine bad hi 143 rupees per stock ke hisab se bech diye. Jisake karan Rakesh ne 5 lakh rupees ka munafa kamaya.Usake bad 1986 se 1989 ke bich Rakesh ne 20 se 25 lach rupees ka profit kamaya. Rakesh ne 2002 -2003 me Titan company ke 6 crore stock ko 3 rupee per share ke hisab se kharida aur bad me un stock ki kimat 390 rupees per share ho gayi. Jisake karan unaka invest 2100 crore ke par chala gaya.
Success Mantra:- Anubhav
          Rakesh ji ka kahana hai, ki aap galatiyo se hi shikh sakate hai. Jab tak aap apane galatiyo ko man-kar unase kuchh sikhenge nahi, tab tak aap aage nahi badhenge. Rakesh ji ka yah manana hai ki - Investor ko hamesha girgit ki tarah hona chahiye. Aur investors ko investments karate time, khud par bharosa hona bahut jaruri hai. Rakesh ke anusar -"Stock market me teji ke time sabaka fayada aur mandi ke time nukasan hota hai. Esliye ye bat mayane nahi rakhati ki mai amir ki list me hu ki nahi. Mera sidhaaur aashan mantra hai..."
" By Right and Hold Tight"
Rakeshji ki safalat..
          Rakesh ji apane mehanat aur kabiliyat ke dam par vo mukam hasil kar liye hai ki aaj unhe kisi parichay ki jarurat nahi hai. Ve stock market ke king mane jate hai. Aaj Aptech limited aur Hangama digital Media entertainment private limited ke chairman hai. Halanki stock market me kayi bar unhe nuksan bhi ho chuke hai, lekin un galatiyo se hi sikh li aur aage badh gaye.

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages