Top Articles

Monday, August 21, 2017

Kyo Kharab hota hai- Smartphone

     Jyadatar phone company ki galati se nahi, balki user ki galati se kharab hota hai. Aage ham kuchh aesi hi galatiyo ke bare me bata rahe hai, Jise aaksar jane-anjane me ham aur aap karate aur esaka asar Smartphone par hota hai.


Dashboard par phone rakh dena
     
       Aksar log car ke dashboard par phone dete hai. Ve  yah nahi janate ki aisa karna kitna nuksandeh hai. Car ka dashboard aksar hot (garm) hota hai, jisase phone ki battery capacity kam ho jati hai. Yadi jyada hot hua to fir fatane (blast) ka dar bhi rahata hai. Vanhi Gadi mudane ke time me girane ka bhi dar rahata hai, esliye phone ko dashboard par nahi rakhe.


 Nakali charger aur earphone lagana 

        Aksar log kisi bhi charger ko apane phone se connect kar dete hai. Nakali charger n sirf  phone kharab kar sakata hai, balki use puri tarah se barbad kar sakata hai. Etana hi nahi, kisi dusare charger ya earphone ke pyog se bache, kyoki kisi ka pin dhila hota hai, to kisi ka chhota. Esase phone ka slate bhi kharb ho sakata hai.


Metal cover ka pyayog

       Phone ki security ke liye user aksar metal cover ka prayog karate hai, lekin esase phone me network ki problem ho sakati hai. Metal cover ki vajah se phone ka antennae (एंटीना) baind sahi tarah se kam nahi karata hai.  Aise me cover lagate time achchhi tarah test kar le ki usame metal ka prayog nahi hai.

Rat-bhar charging me rakhana

     Halanki kuchh phone me yah option hota hai ki full charge hote hi charging band ho jati hai, Lekin hamare yaha light ( बत्ती ) ki situation bahut achchhi n hone ke karan power hamesha aik- saman nahi rahata hai. Aise me rat-bhar phone me charging mr lagane se phone aur charger dono ko nuksan  pahuch sakata  hai.


Kahi se Apps bhi instal karana

       Android phone me kabhi blutooth, kabhi kisi P.C. se , to kabhi card se apps instal kar lete hai, lekin yah nahi janate ki kitani badi bhul kar rahe hai, kyoki esase third party app store aur side loading ki vajah se phone me viruse aane ka khatra hota hai.


Kahi bhi phone ko rakh dena

       Phone rakhane ko lekar log laparvah  hote hai. Janha baithate hai vahi rakh dete hai. Rakhane se pahale yah nahidekhate ki niche ka surfaces kaisa hai. Hard surface par camera aur body par skrech padane ka khatara hota hai.

1 comment:

Thanks for visite me...

Pages