'Mere raske kamar','Barish ki bunde','Badrunath ki dulhaniya','hamma-hamma','Bolana sathi bolana' jaise tamam superhite songs ko apni surili dhuno se sajone wale composer Tanishk Bagchi, Jab vah khud ko sthapit(स्थापित) karne ko struggle kar rahe the, us time log unhe pagal samajh rhe the. Log kahate the ki kuchh dino ka bhoot (भूत) hai, jab uatarega tp pata chalega ki kaise apna future chaupat (चौपट) kar liya.Lekin sangit ke duniya me rachane-bashane ke aatur Tanishk Bagchi en bato ko kabhi khud par havi hone nahi diya. Esaka hi natija raha ki kal tak pagal kahane wale log aaj unaki dhuno par dance kar rahe hai. Kaisev mila unhe ye mukam aayiye jante hai-
Tanishk Bagchi ka janam Kolkata me huya tha.Unke Mummi-Papa dono log sangeet se jude huye the. Unke papa composer R. D. Burman ki team me assistant the. Aur mummi music teacher thi.Es liye bachapan se hi ghar me suro ki satita baha karati thi. Lekin Tanishk Bagchi ko music me koe intrest nahi tha. Lekin kabhi kabhi bas gunguna lete the. Sath hi music ki dhuno ko samajhane ki koshis kiya karte the. Tanishk Bagchi pilot (पायलट) banana chahate the. Lekin nile aashman (आसमान) me udane ka ki unki khvahish us time tut gyi, jb 12th class ke douran(दौरान) carier chunane ka time aata hai. Tanishk Bagchi ke ghar ki aarthik (आर्थिक) halat aise nahi the ki vah mahanga course kar sake.
Mummi-papa dono log ki salary etani hi thi ki unka bas ghar chal sake.Enhi parosthitiyo (परस्थितियो) ko dekhate huye unhone aviation (विमानन) ke field me jane ka rasta chhod diya. Lekin vah aage kya kare, unke pas es question ka answer nahi tha. Esi ke bad suru huyi unke sthapit(स्थापित) karne ka struggle.
Youth festival se mila mauka
Jab Tanishk Bagchi 12th me the to unake college me last day Annual Festival ka aayojan (आयोजन) chal raha tha. Festtival ki sham saji huyi thi. Hall me charo-taraf students ka bhid lagi huyi thi.Usi time unake aik dost aur program ke co-ordinator (समन्वयक) unke pass aaye aur bole ki tumhare mummi aur papa dono hi music se jude hai. Aise me tumhe bhi khud ko aikbar aajmana chahiye. Phale to unhone apane dosto ko mana kiya. Lekin kayi bar unake dosto dvara (द्वारा) kahane ke bad unhone apne dosto ki bat mani aur Rahaman sir ka 'Dil se' darate-darate shuru kiya. Aik antara gane ke bad taliyo ki aavaj sunayi dene lagi. Esase unake andar ka self-confidence(आत्म विश्वास) jaga. Es ghatana ke bad unko pata chala ki unaka music me carier hai.
Log kahane lage the pagal
Jab Tanishk Bagchi ne apane khud ke songs ko compose karne ki thani, to logo ne hasana suru kar diya. Kal tak jo Tanishk Bagchi ke aavaj ko sunakar taliya bajate theab unhe pagal samjhane lage the.Lekin Tanishk Bagchi ne logo ki bato ko parvah kiye bina apane kam par focuse kiya. Logo se chhip-chhipakar kam kiya karate the, jisase log un par hase nahi.
Bhukhe pet pal rahe the bade Sapane
Usake bad Tanishk Bagchi apane papa ke sath Mumbai aa gaye. Unake hath me unake kamaye 40 rupaye the. Usi paise se unhone chal me aik room liya. Esi struggle ke douran(दौरान) me aik din unaki mulakat composer Jatin sharma se huyi, jo aik bahut bade remic king the. Tanishk Bagchi jatin ko kuchh dhune sunayi. Unhe bits pasand aayi. Jatin ne Tanishk ko apane staf me rakh liya.Bas yahi se Mumbai me rahane aur khane ka thikana mil gya unko. Aur fir dhire-dhire music me unako mauke milane lage
Dosto! duniya me koe bhi chij namumkin nahi hai bas karne ki tahnane ki jaruarat hai. Aap agar us kam ko karne ki than li to aapko safalat jarur milegi. Dosto aapko yah success story kaisi lagi aap jarur comment box me comment kar ke bataye...
"Aaj Baadlo Ne Fir Sajish Ki
Jaha Mera Gar Tha Wahi Baarish Hoi
Aagar Falaq Ko Zid Hai Bijliya Girane Ki
To Hame BHi Zid Hai Wahi Par Aashiya Banane Ki"Aagar Falaq Ko Zid Hai Bijliya Girane Ki
No comments:
Post a Comment
Thanks for visite me...