Top Articles

Sunday, August 6, 2017

Sandeep Gajakas ki safalat ki kahani-Asuccess story


         Dosto aaj mai aapko aik aise person ke bare me batane ja rahe hu jisne apane study se hatkar business ki shuruaat ki aur safalata ke uchayi tak pahucha.

        Sangharsh me aadami akela hota hai. Safalata me duniya uske sath hoti hai. Jis-jis par duniya hashi hai, usi ne History(इतिहास) racha hai.Es bat ko sahi sabit kiya hai- Mumbai ke Sandeep gajakas ne. Jinhone apani engineering chhodakar vah kam karne ka faishala liya , jise shayad log majburi me bhi karna nahi chahe aur vo kam hai- shoes polishing and repairing ka.
        Sandeep ne pahla shoes polishing aur repairing ka business shuru kiya. Unhone apane es unique business idea ke karan sandar safalata payi hai.Aur dekhate hi dekhate aaj unki company desh ke 10 se adhik states me pahuch chuki hai. Etana hi nahi Sandeep ki company kayi mashahur bade brand Puma, Reebok, Nike aur Fila sahit kayi companies se judi hue hai.

        Mumbai ke Mithibai college me study karate time Sandeep ke mann me shoes laundary ka idea tab aaya. Jab Sandeep ke college me study karne wale kuchh bade gharane ke boys, apane shoes ko lekar befikar the. Aikbar pahanane ke bad agar shoes jra-sa bhi kharab huye, to unhe fek dete the. Aik din Sandeep ne apane dosto se shart rakhi ki ve unke shos eaikdam naye kar denge. Aur Sandeepne sirf shart k liye apane dosto ke shoes aikdam naye jaise kar ke dikhaye. Etaneachhe ki unke dosto ko es bat pr bharosa ni hua ki vah shoess unke hi hai. Usi samay Sandeep ko shoes loundary ka idea aaya. Engineering karne ke bad Sandeep out of country jane ke bare me soch rahe the. Lekin usi time America me 9/11 ka aatankavadi hamla ho gaya.Esakew bad Sandeep ne out of country jane ka erada chhod diya. Aur shoes loundary ka business shuru karne ka faisala liya.

       Lekin Sandeep ke family wale unake es faisale se bilkul khush ni the. Jahir si bat hai- khush kaise honge? Kyoki koun se parents aise honge jo apane bete ko engineering chhodkar shoes polishing aur repairing karte huye dekhana chahenge. Lekin fir bhi Sandeep ne puri duniya ki aavaj ko nahi sun kar ke apane dil ki suni.Aur 12000 rupees kharch karke apana business shuru kiya.Unhone bathroom ko workshop banakar, dosto aur ristodaro ke shoes polishing aur repairing karna shuru kar diya. Aur dosto ki sahayata se kuchh marketing compain ki. Jisase unhone apne es enovative ideo ko logo tak     pahuchaya.

       Sandeep ke shuruaat karane ke bad es business me 8 nayi compitetor companies aayi. Lekin vah jyada dintak nahi tik payi kyoki es thode se fayada wale business me har kisi ko tik panamushkil hai. Lekin Sandeep ke mehanat aur kabiliyat ke karan, aaj unki company ka slana turn over 2 carors se jyada hai. Delivery boy hone k bavjud kabhi kabhi Sandeep khud delivery karane pahuch jate hai. Kyoki unke kam ko dekh kar customers ke face par khulkar muskan bhari khusi dekhana unhe achha lagata hai. Sandeep k es story se saf hai ki koe am chhota ya bada ni hota.

 "जीतने वाले अलग चीजें नहीं करते, वो चीजों को अलग तरह से करते हैं.
कोई भी महान व्यक्ति अवसरों की कमी के बारे में शिकायत नहीं करता."

3 comments:

Thanks for visite me...

Pages