Top Articles

Sunday, August 13, 2017

Govind kakadia ki kahani - A success story


        Aaj hm bat karne ja rhe hai, aik aise person ki, jo apane bachapan ke dino me Gay(cow) charaya karte the. Lekin aaj vo hamare desh ke sabse bade Diamond exporter hai. Ji ha dosto, Aaj ham bat karne ja rhe hai diamond Jewelry ke malik Shree Govind bhai Kakadia ki-
       Dosto Govind bhai ka janm Gujarat ke aik chhote se gav me hua tha aur unake parents aik poor farmer the. Govind bhai ke Maa-bap ne Govind ka admission apane gav ke hi sarkari school me karva diya tha.Govind bhai kuchh hi mahino tak school gye the. Jab unke maa-bap ne dekha ki- Govind bhai ka mann padayi-likhayi me ni lag rha hai.Tab unke papa ne unhe apane sath kheti-badi me lgane ki sochi.Lekin unka mann kheti-badi me bhi ni lag rha tha aur har mankar unki maa ne gay charane ka kam diya.Jo unhe khub pasand aaya kyoki gay charane ke bahane ve apane dosto ke sath Gilli-danda aur kavaddi bhi khelte the.

        Dosto,1968 me jab Govind bhai sirf 10 sal ke the,tab unhone city me ja kar diamond polishing ka kam sikha.Aur us time unhe road pr hi sons padta tha kyoki unke pass rahane ke liye koe jagah ni thi.Unaki salery bhi sirf Rs.70/mounths thi.Jisame se vah har mahine Rs. 40 apane parent ke liye ghar bhej dete the. Aur 30 rupees me hi apana gujara karte the. Govind bhai mko naukari karna pasand ni tha. Esliye kuchh salo ke bad Goving bhai ne socha kyo n apna khud ka Business kiya jaye.Aur unhone aik chhoti si jagah par hi hiro ki do machines ke sath apani aik chhoti si factory khol di, jisame hiro ki polishing ki jati thi. Aur bas kuchh hi dino k bad ve diamond ke polishing ke sath-sath unka business bhi karne lage. Unka business kafi achha chalne laga tha. Lekin tin sal bad achanak unake business me bahut bada ghata hua. Jisaki vajah se vah 50 hajar rupees k karj me dub gaye. Dosto, 50,000 rupies us jamane me bahut badi money hoti thi. Lekin Govind bhai ne din rat kadi mehanat kar ke sirf do hi years ke andar apana sara karj chuka diya.
         Bas unki esi honesty ki vajah se pure market ka unpar bharosha ho gya.Aur har businessman unpar bharosa karne laga tha. Kuchh hi salo bad Govind bhai ne- fir se diamond ka business ke bare me socha.Lekin esbar unke pass n to paise the n to school ya college ki degree. Unke pas thi to vo thi unki goodwill aur usi goodwill ke dam par unhe market se lakho rupies ke diamond udhar mil jate the. Govind bhai ne apni kadi mehanat aur goodwill ki dam par international market me apni aik alag pahachan bna li thi. Aur kuchh hi years ke bad unki company Sheetal Manufacturing ko Diamond exporting business house ka darja mil gaya.

      Year 2000 tak har sal unki company 10 lakh dimond ki cutting aur polishing karne lagi thi.Aur year 2004 tak us company ka turn-over 770 crore rupies ho gaya tha. Aaj Gujarat, mumbai me Shithal Manufacturing ka 12 factory hai.Jisame har sal 12 lakh caret diamond ki cutting aur polishing hoti hai. Govind bhai ki company duniya ki sabse badi diamond ki cutting aur polishing company hai. Aaj Govind bhai ki family Mumbai me aik aalishan Bangle me rahta hai. Lekin aajbhi vah apane bachapan ki un dino ko nahi bhule hai- Jab unake family ko kafi mushkilo ka samana karna pada tha. aur garibi ke chalate unhe 10 sal ki chhoti age me hi naukari karni padi thi.

      Dost! ye thi Govind bhai ki story. Jinhone gariv kisan ke ghar janm liya lekin aaj ve desh ke sabse bade diamond company ke malik hai. Dosto ye story aapko kaisi lagi aap comment me jarur batayiyega.


kisi ne khub kikha hai-

"Hosley buland kar raaston par chal de, 
Tujhe tera mukaam mil jayega, 

Akela tu pehel kar, 
Kaafila khud bann jayega, 
Maysoos hokar na umeedon ka daman chhod, 
Varna khuda naraz ho jayega, 
Thokron se na tu ghabra, 
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega, 
Nakamyabi ki dhund se na ghabrana, 

Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega."





No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages