Top Articles

Friday, September 1, 2017

Dar ko darakar paya mukam - (Success Stoty)

       Jab hosh sambhala to ghar me aarthik tangi ki aise bure halat ki ghar me do vakt ka khana milana muskil tha. Thodi age badhi, to Mata-pita ne dadi ki dekh-bhal ke liye apane se dur gav chhod diya. Yaha chacha ke sath me bachapan ki jara sio shararato par dardnak pitayi se lal ho gya.Khelane padane ke age me mil rahi en samsyao ko mat-pita se bataya , to ve apane sath gav se city lekar chale aaye. Lekin apne ke pas aakar bhi bachche ki takalif ka end nahi hua. Aakhirkar aik din bachche ne dar se bachane ke liye apana ghar chhod diya aur 11 years ki age me ja pahucha New Delhi ke railway station. Station par sangharsh aur samsyao ke bich gujar-basar karte huye vah bachcha gumanami ke andhere me khone ke vajay ban gaya photography ke duniya ka chamakata sitara.



        Yah chamakata sitara hai Haran Kumar, Jinhone tamam muskilo aur mushibati se jujhkar aik achchha photographer ke rup me apani pahachan banayi. Aaj uanaki photography ko desh me hi nahi, duniya   me bhi sarahana mil rahi hai.
        Haran Kumar West Bangal ke hai. Enkiko lekar 4 bhai aue aik bahan hai. Enake father ki income achhi nahi thi.Es vajah se ghar me aarthik tangi thi. Enake mata-pita ne decision liya ki ve unake aik bhai aur aik bahan ko lekar job karane ke liye Delhi me rahenge.Mummi bhi unake sath rahegi. Lekin Haran Kumar aur unaki badi bahan ko dadi ke pas chhod diya. Haran Kumar yah sochkar khush tha ki unako dadi ke pas rahane ka mauka milega, Lekin vha sath rahane wale chacha unako chhoti-chhoti bato par marate pitate the. Haran Kumar ne jab yah bat mummi-papa ko batayi to unhone Haran Kumar ko apane sath vapas Delhi le jane ka decision liya.
         Haran Kumar bahut khush the ki apane mummi-papa aur bhai-bahan ke pas rahenge, Lekin Delhi me bhi stithi nahi thi, kyoki unake papa ki income me koe sudhar nahi hua tha. Fir bhi unake papa ne Haran Kumar ka admission karwaya. Lekin unaka study me mann nahi lagata tha. Haran Kumar school teacher aur gharwalo ki pitayi se bachane ke liye faisala kiya ki ab vah school nahi jayenge. Aikdin gharwalo ko jab yah bat pata chali, tab Haran Kumar ki khub pitayi huyi. Usake bad Haran Kumar ne apane papa ki pocket se 20 rupees lekar ghar chhod diya. Usake bad Haran Kumar aik lamba safar karate huye New Delhi ke railway station pahuch gaye.

       Station par gujare din
        Ghar se bhagane ke bad Haran Kumar station par kuli ki naukari kar li. Usi time aik din Haran Kumar ko Salam balak Trust ke log mile, Haran Kumar ki stithi aur age ko bhafate huye unako apane sath lekar gaye. Yaha se Haran Kumar ka kismat karavat li. Haran Kumar ki study, khan-pina, rahane ki samsyaye sulajh gayi. Trust me aik International Workshop huyi, jisane Haran Kumar ke andar photography ki ruchi paida ki.

Desh-Duniya me hai name
      Karib 17 years ke anubhav me Haran Kumar Singhapur, South Afrika, Canada, U.S.A., jaise desho me art-gallery me apani photographs ka presentation kar chuka hu.



Dosto! aaj ki kahani kaisi thi aap jarur comment karake bataye...

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages