Top Articles

Sunday, October 15, 2017

Sports me banaya apna mukam:Vaun Bhati

     Para Athletics Varun Singh Bhati ko hal hi me Arjun Award se navaja gaya hai. Varun ne Riyo ke summer- Paralympic me 1.86 miter ki chhalang lagakar kansh padak jita tha. Esake aalava, 2017 me Landon me huyi- Athletics champianship me unhone kansh padak jitakar desh ka naam roshan kiya. 2014 ke china open Athletics, Asia open Champianship me gold medal jitane wale Varun ka kahana hai ki Youngers ko sirf carier ke liye nahi, balki apani fitness ke liye sports me aana chahiye. Har bachche ko kisi aik game ka jarur chunav karana chahiye....

      Main jab 6 mounths ka tha, tabhi poliyo ka shikar ho gaya, lekin parent aur dosto ne kabhi kisi kami ka ahsas honer nahi diya. Jab aapke pass etanev positive log ho  to, apne se motivation milane lagati hai. Esi ne mujhe sports me kuchh kar dikhane ke liye motivate kiya. Aisa nahi hai ki mujhe chunauti ya nakami ka samana nahi karana pada. Lekin unsuccess apako majaboot banati hai.Aap apani kamjoriyo par kam karana shikh jate hai. Mai kabhi hopless nahi hota hu. Galatiyo se shikhakar, Use sudharane ki koahish karata hu.

Coach  ne pahchani pratibha-


    Mujhe school dino se hi sports me ruchi thi. Pahale basketball khelata tha.Sath hi, achchhi jump leta tha.Sabane high-jump me jane ki salah di. Maine youtube aur dusare logo se esaki jankari li. Sanyog se school ke coach ne meri pratibha ko dekha aur mujhe pahle walwe national Athletics Satyanarayan sir jaise varishta coach se shikhane ka avsar mila. Unke marg-darshan me hi mai state aur fir national team ka hissa ban saka. Shuru me thoda dar lagata tha,nurves bhi hota tha. Lekinanubhav ke sath dhire-dhire khaup khatam ho gaye.Aik player ke liye fitness sab-kuchh hoti hai. Mere coach ne mujhe tin ghjante ki tranning ke alava dyte par bishesh dhyan diya.

Sports se mila Respect-

   Hamare liye achchhi bat hai ki sports athourity of India me tamam modern equipment  maujud hai. Goverment bhi game aur Para Athletics ko badhava de ri hai. Mera to yah manana hai ki agar bhatrat me niyamit rup se para-sports partishipators ka aayojan ho, to naye sports talent ko ubharane ka mauka milega. Aakhirkar, mujhe mere parents aur khel ke dusaro diggajo ki upsthiti me president ke hatho jo award mila hai, vh sirf sports se ho ho paya.




Dosto ye story Varun singh bhatiya ki thi unahi ke jubani

aapko kaisi lagi unki success ki kahani aap hme mere email ya comment me jarur likhakar bataye...


bye dosto take-care aapka dost Aarav..  

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages