Top Articles

Friday, March 23, 2018

New Blog Post ko Promote karne ke 15 Tarike-(full guide)

Aapke uss blog post par jyada traffic tabhi Milega jab aap usko internet ke har ek place par promote karege. Jitne effective tarike se aap apne post ko promote karege utna hi badiya aapko uska benfit milega.

Jab aap ek naye post par work karte hai aur apna work uss post par completed karne ke baad aap usko publish karte hai. phir uske baad aapka new post internet par live ho jata hai. Post publish karne baad aapka kaam khtam nahi hota balki Asali kaam uske baad hi suru hota hai aur woh kaam hota hai new blog post ko promote karne ka. Apne new post ko promote karne ke liye aapko bahut se step ko follow karna padhta hai.



Mai aapko kuch badiya step ko bataoga jisko aap apne post ko publish karne ke baad waha par promote kar sakte hai. kyoki kewal post ko publish karne se sab kuch nahi hota hai balki usko promote bhi karna padhta hai. Bina promotion kiye hue aapka post jyada logo tak nahi pahuchege.

Mai un main point par focuse karuga jaha par aap apne new post ko promote kar sakte hai.


Blog Post ke SEO par bhi jarur diyaan de


Blog Post ko Promote Kaha or Kaise kare


1. Facebook Group me Post Share kare

Facebook page ke bare me to maine aapko bata diya. Thik ussi prakar facebok group Bhi ek bahut hi badiya palce hai apne new post ko promote karne ke liye. Yadi mai kahu ki agar aap badiya tarike se facebook group par apne post ko promote karte hai to ye facebook page se jyada traffic aur benfit aapko dega.



Facebook par har ek topic par lakho group hai aapko apne blog ke niche(topic) se related papular group ko join karna hoga. Papular group ka mtlb jiss group me jyada member ho. facebook par apne blog niche se related jyada se jyada group ko join kare aur ho sake to apne khud ka bhi fb group banaye.

Phir jiss parakar ke content maine facebook page par share karne ke liye bataya hai thik ussi prakar ke content aur images un sabhi facebook group me bhi share kare. Aisa karne par apake blog par bahut hi badiya traffic ayega.

Udharan– Man lo ki aap ne apne niche se related 15 group ko join kiya hai aur har ek group me 10k (10 hajar) member hai to jab aap in sabhi group par apne new post ko publish karege to aapke ye post 15*10000= 150000 logo tak jayega aur itne logo me se kam se kam 500-1000 logo to aapke blog post par click kar hi dege! Aapke ek new blog post par kewel facebook group se itna traffic aa raha hai mtlb facebook group ek bahut hi uniqe aur effective place hai new post ko promote karne ka aur aap isko miss na kare balki Use kare

2.  Facebook Page Par Share Kare Post ko



Sayad hi koi aisa hoga jo facebook ka naam nahi suna hoga. Facebook ek bahut bada brand hai jaha par daily 200000k User ate hai. Internet par google aur youtube ke baad 3th sabse bada network Facebook hai. in numbers se aap ye soch sakte hai ki facebook kitna papular sites hai. Chuki Facebook par daily bahut hi jyada user ate hai isliye ye ek perfect place hai apne new content ko promote karne ke liye..



Sabse pehale aap apne blog ke naam se ek facebook page banaye aur uske baad apne dhwara publish kiye gaye har ek new post ko waha par shere kare.

Jab aap apne blog post ko facebook page par share karne jaye to apne post se related ek badiya sa long size ka image choose kare. Image choose karne ke baad aap uss image aur new content ka link dono sath me hi apne facebook page share kare. image ke sath link share karne par logo ko aapke post par jyada focuse padhega. Aur usse aapko badiya traffic milega.

Ek aur baat facebook page par new blog post ke publish karne ka sabse badiya time 8pm-9pm hota hai kyoki iss time me facebook ke jyada se jyada user active rahte hai. Iss liye 8pm-9pm ke bich Me hi apne post ko facebook page par publish kare

3. Instagram Par Post ko Share kare




Instagram ek naya aur huge network hai new post ko promote karne ka lekin aap Instagram par content nahi share kar sakte hai. Instagram par aap kewal image ko hi share kar sakte hai. Mai apne personal picture ke sath sath apne new post ke image ko bhi Instagram par share karta hu. Aisa karne se mere new post ka promotion acchi tarah se hota hai. Apne new post ke har ek image ko Instagram par share karna naa bhule. Sab kuch waha par ek case ki tarah share kare.




4. Social Bookmarking Site par Share kare


Apne new blog post ko top social bookmarking site par share kare. Top bookmarking site par apne new content ko share karne par aapka new blog post search engine par jaldi index ho jata hai aur isse aapko accha benfit milta hai. Mai aapko kuch top ki bookmarking site ke bare me batata hu.

Blog Engage
Triberr

5. Infographic Sites par Share kare post ko


Apne new post se related ek badiya sa infographic banaye. Infographic banane ke liye aap piktochart.com aur canva.com ko use kar sakte hai. Uske baat uss Infographic ko top Infographic sites par submit kar de. Mai aapko kuch badiya Infographic sites ke bare me batata hu Jaha se aap apne blog post ka badiya link paa sakte hai.

Visual.ly
DailyInfoGraphic.com
AmazingInfoGraphics.com

6. Youtube Aur Dailymotion Par Share kare

Video ek bahut hi papular tarika hai apne new post ko promote karne ka. Sabse pehle apne new post se related ek uniqe video banaye aur usko papular video sharing site jaise- Youtube aur Dailymotion par upload kar de.

Jab aap apne new video ko upload karne jaye to video ke describtion me apne new post ka link bhi add kar de aisa karne se jo aapke video ko dekhege to usko post ka link bhi dikhai dega. Aur bahut se log uss par click bhi karege. Agar aap video banakar apne new post ko promote karege to Aapke blog par bahut hi badiya traffic ayega.


7. Twitter Par New Post Share kare

Facebook ki tarah twitter bhi ek bahut hi papular social networking site hai jiski Global ranking 09 hai. Worldwild 9 ranking ka mtlab iska bahut hi bada network hai aur isko use karne wale million me hai.

Twitter ke 22.5% user USA ke hai jabki kewal 9.4% log twitter ko india me use karte hai. Maine dekha hai ki india ke bloggers twitter par apna jyada time nahi spent karte hai. lekin agar aap ek plan ki tarah twitter ko apne blog post ke promotion ke liye use karege to twitter bhi ek bahut hi badiya place hoga apne blog post ko promote karne ke liye.

Twitter par koi bhi post share karna bahut hi easy hota hai. Agar aapke blog me social sharing wedget laga hoga to Uss wedget me facebook ke baad twitter Ka hi option ata hai. Jab aap apne New post ko ready karke publish kare to uske turant baad hi uss post ko twitter par bhi tweet kar de.

Aap apne post ko bahut hi easy tarike se Twitter par tweet kar sakte hai aur Haa! apne tweet me hashtags lagana naa bhule kyoki hashtags lagane se aapke post ka fouse badh jata hai.

8. Pinterest Par Post ko Promote kare

Pinterest ka naam indian bloggers sunte hai lekin isko kaise use kiya jata hai ye unko nahi pata hota hai. Pinterest ko use karna bahut hi Aasaan hai. Jab aap new blog post ko publish kare to usme jo image hota hai usko Pin karna hota hai. Pinterest mainly Photo share karne ke liye Social networking site hai.

Jab bhi new post publish kare to uske image ko pin karna naa bhule. Mai hmesa apne har ek post ko pin karta hu. Honestly mere hindimehelp par Pinterest ke dwara bahut hi badiya traffic ata hai. Pinterest ek huge social media site hai jo aapke har ek new post ko pin karke badiya tarike se promotion karta hai. Isliye aapne new post ko Pinterest par Pin karna naa bhule.

9. StumbleUpon Par Link Share kare


StumbleUpon ek bahut hi papular social bookmarking sites hai. Sabhi professinal bloggers apne har ek content ko StumbleUpon par share karte hai. Mai bhi apne har ek new post ko StumbleUpon par sahre karte hu!

Post ko share karne ke kuch hi time baad StumbleUpon se mere blog par view ane lagte hai. Jab bhi aap koi naya blog post publish kare to uske link ko StumbleUpon par jarur share kare. Kyoki StumbleUpon apne aap me ek internet ka bada brand hai. Isliye apne har ek new post ko StumbleUpon par share karna naa bhule.


10. Slideshare Par Post ki Slide share kare


slideshare ek bahut hi defferent document sharing sites hai. slideshare ki ranking google par bahut high hai. slideshare par apne new post ko share karne ke liye aapko apne post Ko powerpoint me convert karna padhega.

Powerpoint me new post ko convert karne ke baad usko Slideshare par upload kar do. Agar aap aisa karte hai to bahut hi jada traffic aapke blog par ayega. Aur bahut hi acchi tarah se aapke new post ka peomotion hoga.


11. Delicious Par Post Promote kare


Delicious ke bare me muje bhi jaldi hi pata chala hai. Aur mai abhi Iska new user hu. Jab maine Delicious par apna acount banaya to mai sochta tha ki ye bahut hi defult hoga lekin isko use karne ke baad muje pata chal ki ye to ekdum stumbleupon aur digg ke jaisa hi hai.

Yaha par apne new post ko share karna bhi bahut Easy hai. I think Delicious ek bahut hi badha promoter place hai. Isliye apne content ko Delicious par promote karna naa bhule aur apne har ek new post ko yaha par share kare.

12. Scoop.It


Scoop.It ek free content promoter sites hai jaha par aap apne har ek new content ko free me promote kar sakte hai.

Scoop.It par apne new post ko share karne ke liye sabse pahle aapko yaha par apna profile banana hoga. phir uski baad aap apne new blog content ko apne Scoop.It profile se share kare.

Ye ek bahut hi easy aur very effective tarika hai apne new blog content ko promote karne ka. Scoop.It Par apne new blog content ko share karne se aapko accha benfit milega.

13. Share Post On Blog Niche Forums


Forum ek esay tarika hai backlink aur traffic pane ka. Sabse pehel aapko apne blog niche se related kuch papular forum ko join karna hoga. Phir uske baad apne new post se related question ko find kare aur unke question ka answer de question ke answer ke niche apne new post ka link bhi de. Issi tarah kam se kam 10-20 question par apna
answer deke apne new post ko prmote kare.

Forums ek accha tarika hai apne post ko promote karne ka. Aap bhi yahi kaam apne new post ke sath kare. Mai aapko 2 bahut hi papular forum ke bare me batata hu jaha par aap apne new content ko promote kar sakte hai-

Quora
Yahoo Answers

14. Share on Email Newsletter


Yadi aap ek acche bloggers hai to aapke pass apke readers ka email list jarur hoga. Yadi nahi hai to mai aapko high recomended karuga ki apne reader ka ek email list banaye aur apne new blog post ko publish karne ke baad uss post ko apne sabhi reader ke email par send kare.

Apne email ko reader ke paass send karne ke liye aapko email marketing ke tool ki jarurat padegi Agar aap ek new blogger hai aur aapke pass itna paisa nahi hai ki aap paid email marketing tool le sake to aapko tension lene ki jarurat nahi hai kyoki internet par bahut se aise tool aur software mil jayege jiss se aap free me apne email ko apne reader ke pass send kar sakte hai.

Free email marketing tool ke liye aap google par search kar sakte hai waha par aapko bahut se badiya option milege. Bus mai aapse yahi kahuga ki aap ek badiya email list banaye aur apne har ek new post ko publish karne ke baad uss email list par send kar de. ye ek bahut hi strong tarika hai new post ko promote karke traffic lane ke liye.

Aap Feed-burner par apni feed bana kar Email Subscribe option enable karke bhi kar sakte hai.

Email ka Subscribe Box add jarur kare site me

15. Digg Par Post Bookmark kare


Digg bhi same StumbleUpon hi ki tarah hai. Ye bhi ek badiya network hai apne new blog post ko free me promotion karne ka. Just digg ke website par jaye aur apna ek new acount banaye aur apne new blog post ke link ko waha par submit kar de. digg par apne new post ko submit karna bahut hi easy hai.

Jaha tak mere manana hai ki jyada se jyada bloggers apne link ko digg par submit karte hai. Aap bhi digg ko miss naa kare balki apne har ek post ke link ko yaha par submit kare. aisa karne se aapke blog ka badiya tarike se promtion hoga aur aapke blog par accha traffic bhi ayega.


16. Google+ Par Blog Post ko Submit kare


Google+ ek top ki social media site hai. Aur blog post ko promote karne ke liye ek best place hai. Google+, Google ka hi ek service hai jisko google ne banaya hai. Yadi aap ek plan ki tarah se google+ ko use karte hai to google+ ke dwara aap apne blog par bahut hi badiya traffic laa sakte hai.

Yadi aapka blog blogger.com par hai to aap apne blog me automatic google+ par share karne ke feature ko enable karne par aapka har ek new post google+ par automatic share ho jayega. google+ par apne new post ko share karne se pehle aapko apne google+ ka profile attractive banaye aur uske baad apne har ek new post ko google plus par share kare. Aisa karne se aapko bahut se benfit milege.


Extra Tips

Aap social media ke koi bhi plateform use kare. jab bhi apne new content ko social media par promote karne ke liye jaye to HASHTAGS! lagana kabhi bhi naa bhule. Ye ek bahut hi importent factor hai aur aisa karne par jyada se jyada people aapke post ko dekhege. HASHTAGS! lagane se aapka post attratctive lagata hai aur log isko ignor nahi kar pate hai. HASHTAGS! me aap apne post se related keyword ko use kare.

Ha to friends muje puri ummid hai ki agar aap insab ko tri karege to aapke blog ki traffic me jarur improvement hoga.. Agar aapke pass inke aalawa bhi koi tarika ya site hai jispar ham apni new post ko promote kar sake to comment karke bataye.

3 comments:

  1. great publish, very informative. I ponder why the other specialists of this sector do
    not realize this. You should proceed your writing. I'm confident, you have a huge readers' base already!

    ReplyDelete
  2. Thanks for powerfull Comment...

    ReplyDelete

Thanks for visite me...

Pages