Top Articles

Sunday, June 25, 2017

Passion ko bnaye carrier

     
         Jb hm bachche hote hai tab hme future ki koe chinta ni hoti hai. Hm bs school jane or khelne me hi busy rahte hai. Life me aage kya hoga esse hmko kuchh ni lena hota hai. Lekin jaise hi hm class 9th me admission lete hai ya jaise hi hm bde hone lagte hai vaise hi hm future k bare me sochne lagte hai. Hm apne future ko achha banane k liye koshis karne lagte hai. Hm apne future ko achha banane k liye jo bhi kr sakte vh  karna suru kr dete hai. Hme kya banana uske liye puri koshis karne lagte hai. But, hme banana kya hai esko choose karna kathin ho jata hai. Hme apni life ko hi decide karna bhut hard lagne lgta hai.


     Dosto, Ye stuation hm sabhi ka sath aati hai jis time hm decide ni kr pate.Hme samajh ni aata ki hm doctor, engineer, writter, player ya actor etc. me se kya chose kare. Hm apna khud ka carrier dusro k bharose chhod dete hai ki jo vh bolega vh hi hm karenge. Ya hm kisi ko dekhkr apna carrier decide kr lete hai, Chahe hi hm use n kr paye. Kuchh log Parent k upar hi chhod dete ki jo parent jo bolenge vh hi hm karenge.Kuchh log ko to study pasand hoti but vh log kisi actor ki life style ko dekhkr actor banane ki soch lete. Means vh apne mann ka carrier ni decide ke pate. Kuchh log ki to majburi ho jati hai ki une parent jo carrier decide kr denge vhi karna hai kyoki vh apne parent ki echha ni tod sakte hai. Us time hm kya decide kre... 
       But, Dosto hme apna carrier apne passion ko banana chahiye kyoki hm agr apne passion ko carrier choose karnge to hme usme success jarur milegi. Aap hi sochiye Sachin Ramesh Tendulkar k parent unko bolte ki tum gana gao ya Lata Mangeshkar k Parent bolte ki tum cricket khelo to kya vh log succes ho pate. Un logo ne apne passion ko carrier bnaya or success ho gye. Jin logo k parents dabav dalte ki tum carrier me ye kro to un logo ko apne parent ko samjhane ki jarurt hoti hai, lekin  bhut pyar se. Or un parent ko bhi apne bachcho ko unke passion ko hi carrier bnana dena chahiye. 
      Friends agr aap apne passion ko achhi trh samjh gye hai to  aap passion ko hi carrier bnaye. Kyoki jb hm passion ko jb carrier bnate hai to hm success hi ni hote balki hm us kam ko hmesa mann se karte hai or kabhi hm bor ni hote.Passion se chhoti ni badi successs milti hai.
     
     So, Friends! Aap log apne passion ko carrier bnaye or succees ho jayiye.  






Good bye and Good luck
     Friends



"Without passion you don't have energy,
without energy you have nothing."



1 comment:

Thanks for visite me...

Pages