125 crores ka desh aur 1 rupee ki candy.2 years aur 300 crore ka business.Logo ke juban ko aik behad khas tarah ka swad dene wali "Pulse" ki duniya me pahuchane ki kahani behad khas hai-
Feb 2015 me aik candy market me aayi hai. Jiska naam hota hai-Pulse. Rajnigangha aur Catch pani banane wali company D.S. Group yani Dharmpal aur Satyapal group ne kachche mango(aam) ki swad wali toffy 'Pulse' ko lunch kiya. Kisi ko ni pata tha ki etne kam time me yah candy aik anokha record apane naam kar legi. Sirf 8 months me 2 crore ke aakade ko chhukar 'coka-cola zero' ki barabari kr li.Pulse ne apane behad khas flavour ki vajah se market me kabja kar liya. Kachche aam ke flavour ke sath lunch huyi es high quality cxandy ne alag-alag age ke logo ke dilo par kabja kar liya.
Pulse market ke hisab se high gold candy ki shredi me aati hai,Jiska pura market lagabhag 2100 crore rupes ka hai.Aur yah sal dar sal 23% ke rate se aage badh raha hai.Jisme 50% share sirf Mango flavour candy ka hai.Es candy ke bich me namak aur spices ka swad bhi milta hai.Jo ki high gold candy ke market me aik khas value rakhta hai.
Garmi ke mausam me jab gala sukh rha hota hai tab muh ko kisi khas chij ki jarurat hoti hai.Esaki jarurat ko pura karne ke liye D.S. group ne yah experiment kiya.Gujarat state se eska trial shuru kiya gaya Aur fir logo ke demand par ese other states me bhi pahuchaya gya.Es demand ko pura karane me D.S, group ke purane distributers ki help li gayi. D.S. group ke dwara esaki lunching aur marketing ke liye koe khas management nahi ki gayi. Esake bad bhi candy ke taste ne logo ke dilo par raj kar liya. India me achha response milane ke bad D,S, Group ne es candy ko Singhapur,u.k. aur U.S. me bechana shuru kar diya. Aur etana hi nahi D.S. Group ne es masala bom farmula ko patent bhi kara liya.
Dosto! Ye thi aaj aik candy ki safalata ki kahani. Aap ko yah kaisi lagi aap comment box se jarur bataye...
No comments:
Post a Comment
Thanks for visite me...