Top Articles

Monday, August 14, 2017

Jeetane ke liye harana jaruri nahi

           Hi! dosto kaise ho aap log
           I hope  aap log bahut achhe honge. Mai aapka dost Aarav .

        Dosto, Ham hamesa jitane ke bare me sochate rahte hai.Aur ham jitane ke liye kuchh bhi kar gujarane ko taiyar rahte hai. Hmare mind me bas aik bat bhari hoti hai ki bas hame jitana hai,Chahe jeet hame mehanat kar ke mile ya dhikha de ke jeete.
       Mehanat se jeetane se achha hamlog ko dhokhe se jeetana bahut aasan lagat hai. Aur ham esi dhokhe se jeet ki vajah se ham hamesa kamjor  hote chale jate hai. Aur lazy bhi ho jate hai. Aayiye dosto mai aapko aik story sunata hu-

      Jab mai college ke 2nd year me tha to hamre aik teacher the, jo hame Nagarik shastr  padate the. Unhone hane aik din Samaj ke bare me batate huye- Ham sabhi students ke hatho me aik-aik fula huya gubbara (balloon) diya aur uske sath me aik nukili suyi bhi diya. Sab dene ke bad unhone ham log se bola ki jisake hath me balloon rahega vah winner hoga. 
     Fir kya tha- Ham sabhi students dusaro ke balloon fodane lage. Aur apane balloon ko bacha bhi rahe the. Dusre ke ballon fodane ke liye ham edhar se udhar jane lage.. Pure class me sore hone laga.
Last me ham kisi ke hatho me balloon nahi bacha. Tab hamare sir ne ham sabhi students ko apne seat par baithane ko bole. Jab ham log aone seat par baith gaye tab hamare sir bolana suru kiya-
     Pyare students  Kya kisi ne ye socha ki ham sab winner ban sakte hai. Ham sabhi ke balloon bache rah sakte hai. Unhone fir bola ki mai kahi ye bola ki dusro ke balloon ko fodo. Lekin aaplog sabke bare me sochane ke sthan pr aaplog dusro ko harane ki sochane lage.  Agar aaplog ye sochate ki kyo n ham sab winner bane tab koe balloon bhi nahi futata aur class me shor bhi nahi hota. 
     Fir unhone bataya ki - Hamare desh me yahi ho rha hai. Politician dusare politician ko nicha dikhane ki koshish karte hai aur desh ke bare me nahi sochte. Company me employees dusro se aage jane ki sochate hai n ki team me kam karna chahate. agar vah team me kam karate to puri company aage badhati.
      Agar aaplog bhi aik-dusare ke question ko solve karenge aur aik-dusre ko padayenge to aap sab log toper honge jisase hamare pure college ka naam hoga.
        Dosto! es story se hame yah bat pta chalati hai ki hame unity me rahkar kam karna chahiye. Jisase apana hi nahi pure institute ka vikash hoga.

No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages