Top Articles

Saturday, September 9, 2017

Education is important money

Har pese me khas kism ki skills yani Kaushal ki jarurat hoti hai. Yah short term course ya job training ke jariye Hasil Kiya Ja sakta hai. Esase aap job ke liye to taiyar ho Jate Hai.Llekin kya aap Jeevan Jeene Ke liye taiyar hai.

Shiksha Hamari niv ko majboot Aadhar Deti Hai. Self-confidence deti hai. Jise Hum Kisi bhi field me behtar se behtar pradarsan kar sake. Aik educated person me chhamata hoti hai, Jisase vah aage bhi apna Gyan-vardhan kar sakta hai. Apne vichar achhi tarah present kar sakta hai. Kisi bhi vishay par ray de sakta hai. Esase samaj me Samman Prapti hoti hai jo manobal ko ucha karne mein madat karta hai.

Books hai gyan ka khazana:-

Shahrukh Khan, John Abraham, Vidya Balan aur Preity Zinta Jaise sabhi Sitare college gaye hai. En me se adhik to post graduate tak ki padhai ki hai. Ve Aaj Bhi books padhte Hai. Jis Se unki abhivyakti me aur dhar aa sake. Shahrukh Khan ko books padhne ka bahut shauk hai. Vah kahate hai ,Vah sirf n kitabe kharidte balki Internet se ebooks download bhi karate hai. Yaad rakhe Ki Kisi bhi Vishay me Shiksha Hasil karna tabhi labhdayak hota hai, Jab aap usme ruchi bhi lete hai. Esase us subject ko samajhana aur aasaan ho jata hai. Adhiktar cricketers, meadia anctor aur passion degsiners ne bhi achhi-khasi padayi ki hoti hai.Kisi ne kaha bhi hai


Sabse zaroori padhai:-

Knowledge wali society me uneducated rahana sabse bada abhishap hai. Esliye har amir person chahata hai ki uske bache college jaye. Reliance Industry ke founder Dhirubhai Ambani ka crores rupaye ka karobaar tha phir bhi Unhone dono beto ko videsh me padhai ke liye bheja. Taki ve apne business ko bada sake. Businessman ko to bisheshakar educated hona padta hai. Jise Business mein Safal ho sake. Pehle ke Jamane me Raja Maharaja bhi apne baccho ko sarvashreshth Shiksha institutes me bheja karate the. Usari taraf poor family janme bache bhi sirf aur sirf shiksha ki madad se Jeevan me aage ja pate hai. Dr Bhimrao Ambedkar apni mehanat aur achhi shiksha ki vajah se hi kamyab huye. Hamare desh ke Samvidhan ke rachayita bane.Education ka khazana aapse koi nahi chhin sakta.



No comments:

Post a Comment

Thanks for visite me...

Pages