Kalpana ji ki success hone ki kahani thodi filmy hai ye "स्लमडॉग मिलेनियर’’ movies ko show karata h
Kalpana saroj ki kahani us pichhde dalit ladaki ki story hai jisne janam se hi anek kathinaiyo ko shamana ki. Yha tak ki bat vivah ke bad, sasural walo ke atyachar Shahani padi. 2 rupaye per day ki job bhi Karni pdi. Yha tak ki Jindagi ke utar - chadhav me ek time aisa bhi aaya ki vo khud ko khatam karane ke liye jahar bhi pi li thi , lekin aaj vhi "Kalpana SAROJ" 500 crore ki business ki founder hai.
Kalpana ji ka janam year 1961 me Maharastra ke Akola distric ke chhote se gave Ropadkhela ke garib dalit family me hua , unke family me Dada- dadi , bhai-Bahan , chacha ji ka pura parivar bhi rahata tha. Us time unke father ji havaldar ki Job krte the. Jinki salary per month 300 thi , unaka pura parivar police caloni me rahata tha. Vo pass ke hi aik school me padne jati thi vo pdne me kafi achhi thi, but dalit parivar me janam hone ki vajah se unko vaha bhi simpathy aur teachers se upechhaye jhelani pdi thi.
Kalpana ji apne Jiwan ke bare m btate huye kahati hai ki..........
"हमारे गाँव में बिजली नहीं थी…कोई सुख-सुविधाएं नहीं थीं…बचपन में स्कूल से लौटते वक़्त मैं अकसर गोबर उठाना, खेत में काम करना और लकड़ियाँ चुनने का काम करती थी…"
Kalpana ji jis society se hai vha par ladkiyo ko "jahar ki pudiya" ki upadhi di jati thi. Es liye unke pitaji ne unaki study ko band kar ke unki 12 Sal ki age me hi, unase bde age ke ladke se sath Shadi kar Di . Shadi ke bad vo Mumbai chali gayi .
Kalpana ji ne ek interview me btaya ki
"मेरे ससुराल वाले मुझे खाना नहीं देते, बाल पकड़कर बेरहमी से मारते, जानवरों से भी बुरा बर्ताव करते। कभी खाने में नमक को लेकर मार पड़ती तो कभी कपड़े साफ़ ना धुलने पर धुनाई हो जाती"
Ye sb sahate -sahate unaki condition etani kharab ho gayi ki unaki halat 6 months me hi bhut khrab ho gayi unke pita jab milane aaye to unki aisi condition dekh kar unko apne sath le aaye.
Hamare samaj me log garib to hai hi sath me aik aur garibi ha Jo hmari soch hai. Jaise ensan Kitna bhi bda ho paise se lekin bhut garib hi hota hai dil se.
Jab shadi-Suda ladaki apne mayke aati hai to samaj use alag hi najar se dekhata hai. Pados ke log tane kaste , tarah-tarah ki bate banate . Unke papa ne padhane ki koshish bhi ki but unke life me etna utar chdhav ho gya tha ki uska pdhai se mann hat gya tha. Etani problem ke bad unaka Jina mushkil ho gya. Har tarah se mayus Kalpana ko laga ki Jina mushkil hai. Marana aashan hai to vo sucide karane ki koshish ki poison ki tin bottle pi li tabhi unki Bua dekh li tab tak bahut Der ho chuki thi unke mooh se chhag nikl rha tha...... Afra-tfari me doctor ki help li gayi unaka bachna bahut hi mushkil tha but bhagvan ko to kuchh or hi mnjur tha our unki Jan bach gayi.
Yhi se Kalpana ji ki Jindgi me bahut badi twist aaya unhe lga ki life me unhe aik aur mouka diya hai...........
Jindgi kitni bhi Kyo n thokar de hamesha Jindgi ke Asli mayane hame tabhi pata chalta hai. Ki life hamse kya karavana chahti hai. Jaise Kalpana ji ke Jindgi m huaaaaa
Dosto ap khud ye Jan le.......
"कुछ करके मरा जा सकता है तो इससे अच्छा ये है कि कुछ करके जिया जाए!"
That is true....
कुछ करके मरा जा सकता है तो इससे अच्छा ये है कि कुछ करक!
Jo Kalpana kal tak aatmhatya karne ki koshish ki thi aaj vahi Kalpna ko kuchh karna tha bs.
En sari conditions ko face karne ke bad vo job ke liye try karne lage but kam age ki vajah or kam study ki vajah se unhe Job ni mili. Tab Kalpana ji ne Mumbai Jane ka decision Liya.
Mumbai ki ki taraf kdam....
16 ki umar me hi Kalpana ji apane chacha ke pass Mumbai aa gae . Unhe silai karna achhe se aata tha to unke chacha ji unhe kapde, ke mil me kam dilane le gye. Unhe vha machine chlane ko diya gya to unse machine chali ni rhi thi. To usko dhaga katane ka kam de diya gya. Jiska unko par day ka " 2 rupaye " milte the.
Dhaga katate - katate kuchh hi Dino me vo machine bhi chalane lagi. Jinka unko per day ka " Sava 2 rupaye" milte the.
Esi bich unke papa ki job bhi chali gayi. Jiske vajah se unaki sari faimly Mumbaii aa gayi.
Dhire - dhire sab thik ho hi rha tha ki Kalpana ji ke life me ek aisi ghatna ghati ki unko ek bar fir se jhakjhor ke rakh Di. Unki ek Bahn ki tbiyt bhut khrab rahne lagi. Paisa n hone ki vajah se uska achhe se treatment ni ho paya jisse uski death ho gae. Ye ghatna unko jhakjhor kr rkh di.
Jisse unhe yehsas hua ki duniya m sbse bdhi "bimari" agar hai. Vo h "Garibi" jise vo apne life se hamesa ke liye khatm kar degi.
KaLApNa ji ke life m sbse bda twist kamyabi ki trf..........
Garibi ko apne se dur karne ka pran to unhone ne le Liya but pran lene se kuchh ni hota uske liye kadi mehnat karne ki bhi jarurt hoti hai . Jaise Kalpana ji ne Kiya apne chhote se ghar me Kai machine laga di or vo per day 16 - 16 hours kam Kiya karti. Unki kadi mehant karne ki habit aaj bhi hak.
Jisase kuchh paisa to aane lage but ye kafi ni the. To unhone "Bussines" karne ki sochi. Jiske liye paise chahiye the but unke pass etne paise ni the to vo goverment se loan lene ki prayas krne lgi. Unke karib me ek aadmi tha Jo loan dilane ka kam karta tha. Jiske Ghar vo morning me 6:00am par jati thi but vo aise uske Ghar kae din jate ho gye but vo un par koi dhyan ni deta tha. Kalpana ji uske ghar ke chakkar lagane ni chhoda. Dhire - dhire one month ho gye. To us aadami ko n chahte huye bhi unse bat karani padi.
Us aadami se pata chala ki 50,000 loan par 10,000 udhar khalane padege. Jo Kalpana ji ko manjur ni tha. To vo apna aik khud ka "Santhan" banayi Jo loan dilane ka kam krte the. Es bich unki kafi logo se Jan phchan ban gayi or ye sangathan dhire-dhire kafi popular ho gya.
Es bich Mahrastra govement k dvara chlayi ja rhi "महात्मा ज्योतिबा फुले योजना " se 50,000 ka loan liya or 22 year ki thi Kalpana ji ne "furniture" ka business khola jisse unhe kafi benefit hua fir vo "ब्यूटी पार्लर" bhi ek khol li. Kuchh Dino ke bad vo ek still business man se shadi kr li jisse unke aik beta or ek beti huye kuchh Dino me hi 1989 me unki pati ka death ho gayi. Jisse fir life ne unko jhakjhor diya. But vo har ni mani apne do bchcho ke sath rahne lgi.
Sabse badi kamyabi...
Ek din ek adami unke pass aaya or Bola Mera aap Plat 2.5 lakh me le lijiye . To Kalpana Ji ne Bola mere pass etna paisa ni to usne Bola aap ONE lakh m hi le lijiye or paise aap bad me de dijiye to unhone Bola thik hai fir vo apna Sara jama - punji us adami ko de diye. Kuchh Dino bad unhe pta chla ki vo propty to kisi vivad me fasi hai us par kuchh bnaya ni ja skta. Fir Karib 1.5 - 2 year doud-bhag karane ke bad us jamin ke sare vivad khatm ho gye . Or Jo kal tak 2 lakh ki thi aaj uski kimat 50 lakh ho gae.
Jisse unke ass- pass Vale ko jalan hone lgi vo log esko Marne ke liye plan bnane lage, but unko achhe karmo ka fal hi tha ki unko kisi ke dvara pahle hi pta chal gaya or police ki help se vo sare log pakde gye. Ab kalpna ji apne pass ek "लाइसेंसी रिवाल्वर " rakhne bhi lagi. Uska kahana tha ki mai "बाबा साहेब" ke es vachan me yakin arkhati hu....
"" "" "" सौ दिन भेड़ की तरह जीने से अच्छा है एक दिन शेर की तरह जियो।"""""
Our es sari conditions ko face krne ke bad unke andar mout ka Dar thoda sa bhi nahi raha fir unhone apne dusmno se saf - saf bol diya ki,
"इससे पहले की तुम मुझे मारो जान लो की मेरी रिवाल्वर में 6 गोलियां हैं। छठी गोली ख़त्म होने के बाद ही कोई मुझे मार सकता है।"
Es sari mamlo ke sant hone ke bad vo jamin par "Contraction" ka kam karne ki sochi but unke pass etne paise ni the unhone ek सिन्धी बिजनेसमैन se partnership kr li. To unhone Bola jamin meri hai or bnana aap ko hai to usne 65% apna or 35% par partner ship ki to ye etane par man gae jisse enko 4.5 crores ka benefit huaa.
Kamani tube ki bag doud.........
Kamani tube ki bag Doug Shri N.R Kamani dvara 1960 ki gae thi but suru me to ye bhut achhe se chli but kuchh time bad me 1985 labour unions or management vivad ki vajah se band ho gae thi but kuchh Dino me 1988 me "supreme Court " ke aadesh se fir suru ki gae jiski bag Doud workaro ko de Di gae but vo ese achhe se ni chala paye jisse company crodo carj m dub gae. Jisse worker presan ho ke so year 2000 me vo Kalpana ji ke pass gye.
Lekin jab unhe pata chala ki esme bhut sare workers lagbhag 3500 ki future Tika hai Jo bhukhe Mar rhe or kitne bhikh mang rhe. To unho ne help krne ki sochi or sare mamle ki jankati lene lagi tabhi unko pta chla ki jyade to karj Jo hai. Vo government k aur उद्योगपतियों ka paisa hai . Tabhi unhe ek or bat pta chala ki or paisa to "पेनाल्टी और इंटरेस्ट" ka h.
Tab Kalpana ji " तत्कालीन वित्त मंत्री" se mili or boli ki ap " interest or penalty" maf karva de to hm creditors ka Paisa vapas kar denge ni agar aisa ni hua to Cort se aadesh ane vala hi hai. Agar aisa hua to vakaydaro ko ek rupya bhi ni milega .
Tb vitiy montriy ne bank valo ko Kalpana ji se matting karne ko Bola. Metting se banks Vale kafi prabhavit huye or karj 25% kam kr diye .
2000 se sanghars kar rahi Kalpana ji ko akhir m kamyabi 2006 m mil gae . Jisme Cort ne unhe कमानी इंडस्ट्रीज ka Malik bhi bna diya or aadesh diya ki 7 year me chuka de Jo unhone 1 year m hi Chuka diya . Or workers ka paisa 3 year me Dene ko Bola Jo vo 3 month m hi chuka Di. Jisko unhone compny ko etne achhe se sambhal li. Aaj vo company 500 crores se bhiv jyade ki compny hai.
Es kamyabi ke bad unko 2013 mai पद्म श्री सम्मान se bhi navaja gya. Or to or koi banks background n hote huye bhi sarakar ne unhe Bharati mahila "bank ke bord of director" me samil Kiya.
Sach-much Kalpana ji ki ye kahani Kalpana se pari h. So dosto unki life se hame yah pata chala hai ki chahe hm jaise bhi ho.
padhe - likhe, anapadh , amir - garib, esse koi fark ni padta hai......... Hm apni soch,......apni Mehant se apni kismt badal sakte hai. Ham asambhav ko bhi sambhav bana sakate hai. Or apne bade se bade sapane pure kar skate h.
So dosto Mera manana ye hai ki- Chahe Jo bhi ho apna housala kabhi n khoye. situation chahe Jo v ho.
Jindagi hme sikhati hai gir ke uthana n ki gir - gir jana. Or apne sapano ko pura kar jana.........
No comments:
Post a Comment
Thanks for visite me...