Top Articles

Thursday, September 7, 2017

Junun se khoja apani jeet ka rasta..(A success story)

     U.P. ke Unnao jila ke rahne wale Chandrabhushan Singh Ki Khwahish thi ki medical Ki Duniya Me Naam kamaye, lekin Ghar Ki Arthik Tangi ki wajah se apne Kadam Wapas kar liye. Apne Sapno Se samjhota Kar Chuke Chandrabhushan is baar apne bhitar chhipe acting ke hunar ko ko Pehchan kar is field me career Talashane ka fesla Kiya. Magar Yaha Bhi filmy background nahi hone ki vajah se unke Samne hazaar Mushkil Thi. Lekin es baar unhone than liya tha ki vah har nahi manenge. Unhone acting ke field me mukam pane ke liye liye Junoon ki had Tak koshishe ki . Unaki yahi koshisho ne jeet ka rasta sujha diya. Vah 'Tumhari Pakhi',' Savdhaan India , jaise kayi ETV Shows kar chuke hain. Theoter ke kayi shows Direct bhi kar rahe hai.TV par jald Shuru Hone wale Bhakti show Om Shanti Om me unhone producer ki bhumika nubhayi hai. Acting aur direction ke field me Kadam Badha Chuke Chandrabhushan yah sab kaise kiya.Aayiye dosto! Hum batate Hai-


Chandrabhushan Singh Unnao jila ke Maithi Gaon Se Taluk rakhte Hai. Unke Pita Kishan Hai. 5 bhai-behan hai. Parivar Ki Aarthik sthiti achhi nahi thi kyun ki kheti ki paidawar Itni achi nahi hoti thi, Aise Me Bharan-poshan hi Sahi dhang se Mushkil tha. Achhi education ke baare me to socha bhi nahi ja sakta tha lekin Phir Bhi unke Mata Pita Ne Apna har Sambhav prayash kar ke unako padane ki koshis ki. Esi time Me 12 ke baad unke Papa ne aarthik Tangi Ke bawjud Bhi Delhi mein medical ki taiyari ke liye bheja. Chandrabhushan Singh man se study karane lage. Fir bhi kadi mehanat ke baad Chandrabhushan Singh ka B.D.S. Me selection to Ho Gaya,lekin unke Parivar ki sthiti aise nahi tha ki college mein admission Le sake.Esliye unhone apane kadam vapas khich liye. lekin ab chandrabhushan Singh aage kya kare unake samajh Se Bahar tha. Tab unako padhai ke dauran dekhe gaye Nukkad Natak Ka Khayal Aaya bas wahi se Unki Zindagi Ne Ek Naya Mod liya.


Naukad se Abhinay:-

     Jab vah Delhi mein rah Kar medical ki coaching kar rahe the. To usi dauran padhai se refreshment ke liye shaam ko Thodi Dur vahi tahalane nikal Jate the. Us dauran unhone Kuch natak Dekhe the . Natak ko dekh kar Unhe bhi lagata tha ki wah bhi acting kar sakte hain. Lekin tab padhai ki wajah se unhone Kabhi is Disha Mein Nahi Socha, lekin medical Ka Sapna tootne ke baad unhone es field me sochna Shuru Kiya.

Akele Me karte the practice:-

      Chandrabhushan Singh Akele me shisha ke Samane Khade hokar Kisi bhi Tarah Ke kirdar ko Khud me Utarane ki koshish Karte the. Nukkad Natak ko bhi Dhyan se Roj Dekha karte the. Ghar Aakar wo ghanto practice karte the. Enhi Dino Mein Unki Mulaqat 'National School of drama' ke aik educate person Se hui. Unhone Chandrabhushan Singh ko acting ki Haqeeqat Se Rubaru karwa. Unhone bataya ki har koi Shahrukh Khan nahi ban sakta. Lekin Har vah Shahrukh Khan Ban sakta hai, Jiske bhitar Apne passion Ko Jeene Ka dhairya ho. Esliye is field me unlimited dhairya ki jarurat hai. Unhone Chandrabhshan singh ko L.T.G. group ke director Satyaprakash ji ka sahayak banane ka mauka dilaya.

Theatre se stage aur Gujjar Basar:-

Satya Prakash ji ke direction me acting ki barikiyo ko samajhne lage. Kya din kya Raat Chandrabhushan bas yahi sochte the ki Kaise mai kisi role ko jeevant bana sakta Hoon. Abhinay ke prati unaka yah Samarpan dekh kar Satya Prakash Ji Ne unako ek natak me Abhinay karne ka mauka diya. Uske baad Chandrabhushan Singh "bibiyo ka Madarsa" naam ka natak direct karne ka mauka Mila. Uske baad unake halat kuchh sudhar gaye.

Jam Gayi Mumbai:-

      Delhi mein theatre ki duniya me aamba time gujarne ke baad aakhir kaar unhone Mumbai jane ka decision liya. Yahan par unhone theatre Se pahale pahuche actors se Sampark karne ki koshish ki. Unki madat se Chandrabhushan Singh production house Ke Chakkar katne Shuru kar diye. Kahi casting director se milne ka mauka Milta to kabhi-kabhi to line me lagane ke baad bhi number hi nahi aata tha. Esi dauran Chandrabhushan Singh 1 serial "Tumhari Pakhi" me kaam karne ka mauka Mila. Uske baad unhone Savdhaan India ke Kai Episodes me kaam kiye.
Direction par hai Nazar:-

Iske baad unhone Maqbool Khan ke Direction main Bani film "Lanka" Me Kaam Kiya .Jisme Manoj bajpayee Jaise actor ke sath unko kaam karne ka mauka Mila. Es movie me unho ne ek villain ka kirdar Kiya. Filhaal Unki Nazar apne film dirction aur acting par hai. Kuchh aur project bhi Shuru karne ki taiyari mein hai.


"जीत पक्की है…..बस
कुछ करना है, तो डटकर चल,
थोड़ा दुनियां से हटकर चल।
लीक पर तो सभी चल लेते है,
कभी इतिहास को पलटकर चल।"

4 comments:

  1. If you would like to improve your knowledge simply keep
    visiting this website and be updated with the newest gossip posted here.

    ReplyDelete
  2. I'll immediately grasp your rss as I can't to find your email subscription hyperlink or
    e-newsletter service. Do you've any? Kindly allow me realize so that I may subscribe.
    Thanks.

    ReplyDelete
    Replies
    1. in leftside you find email subscribe link

      Delete
    2. in left side you will find subscribe link

      Delete

Thanks for visite me...

Pages